Dec 20, 2011

* MUJRRIB MUJRRIB ISTIKHARAH *

istikharah k bohat sy qaedy duniya me raej he.istikharah ek amr masnoon he.aur huzur sallallahu alaihi w sallam sahaabaa ikraam ko istikharah ka hukm dety thy.ye ek islami mas'ala he.
duniya me koi
dusra mazhab
istikharah nahi
karta.
islam me bhi salehin hi istikharah har kam se pahle karte he.baki aj kal ham musalmano me istikharah nahi kia jata.aur agar koi karna jaruri b samjta hota he wo bhi khud nahi karta par muz jesy gunahgar ko bolta he.hazrat falan kaam me hairan hu ap istikharah karde.magar khud kabhi ye nahi chahta ki kyu na hazrat se tarika jankar khud hi Allah se mashwarah karlu?
ek baat achhi tarah zehan nashin karle ki istikharah yani ALLAH ta'ala se koi amr me mashwarah lena he.ab allah se apne mashwarah liya aur jo mashwarah khwab me btaya gaya fir apne unke khilaaf kiya to ye baat ALLAH se ek mazakhe.jis se nuqsan hota he aur gunaah bhi.
magar iska matlab ye mat samjiye k istikharah karke phas jaenge.isliy karna nahi he.istikhar me jo jawab hoga wo Allah ki taraf hoga ki is kam me tumhe faeda he ya nuqsan?
aur wo to har musalman janta he ki agar allah k bataye raste k khilaf karne se kya natiza hota he.
istikharah se aap honewale nuqsan se bach jate he.isliye istikharah karnewala faede me rahta he ye hadis me huzur alaiyhisslam ne farmaya he.


¥ TARIKA ¥
ye istikharah buzurgo se mila he.log chahte he ki istikharah saaf aur mukmmal jawab de to wahee paigambaron par aati thi aur istikharah wahee nahi he,ki jisme koi firishta aakar btade ki ye hoga.ha..khwab me isharah hoga.ab aapko subah tak yaad bhi rahe aur us isharay k saheeh mafhum ko samaj ley.
duniya ki zarurato se farigh ho kar jab soney ko lyte to QURAN pak ke pahle parah me ye ibarat hain

الم ذَلِكَ الْكِتَابُ لاَ رَيْبَ فِيهِ هُدًى لِّلْمُتَّقِينَ الَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِالْغَيْبِ وَيُقِيمُونَ الصَّلاةَ وَمِمَّا رَزَقْنَاهُمْ يُنفِقُونَ والَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْكَ وَمَا أُنزِلَ مِن قَبْلِكَ وَبِالآخِرَةِ هُمْ يُوقِنُونَ أُوْلَـئِكَ عَلَى هُدًى مِّن رَّبِّهِمْ وَأُوْلَـئِكَ هُمُ الْمُفْلِحُونَ
"Alif-lam-meem, Zalikal kitabu la rayba feehi hudan lilmuttaqeen, Allazeena yu/minoona bilghaybi wayuqeemoona ssalata wamimma razaqnahum yunfiqoon, Wallazeena yu/minoona bima unzila ilayka wama unzila min qablika wabil-akhiratihum yooqinoon, Ula-ika ala hudan min rabbihim waula-ika humul muflihoon"
surah baqra aayat 1 se 5.


tak ye ayaat 31 martba b,niyyat istikharah parho,awalo akhir durood sharif 3-3 martba parho.amal ba-wuzu karo.
akhir me ALLAH se yu dua karo "Elahi es kaam ka jo nateeja ho usse itelaa farmade"
ab aapka jo maqsad ho uske vasty ye amal karke so jaye.ek hi raat ka amal he.khuda chahe to raat me sab zahir ho jaega jo honewala he.
ye amal mere mamool me se he aur kabhi bekar nahi jata.
NOTE:apni jismani aur libaas ki paki ka khyal rakhy.jis bistar par soye wo bhi pak ho.

apni dua me shamil rakha kare.