Sep 26, 2012

ROHANIAMLIAT: ROHANIHAZIRAAT:


JIN SE DOSTI

mere blog me jo meine darkht pe karnay ka jo tariqa bataaya hai wo amal ka aaj ek aur kamyab namoona mere shagird
mahmmad ayub bhai ansari hai.
wo muzsay 6 mahinay se ROHANI COURSE kar rahay hai aur aaj bhi zari hai aur mere bataaye amal pe amal kartay kartay kai padao
paar kar chukay hai.aur aaj khud bateen ki kai quwaton k malik hai.
jab muz say pahli bar rabta hova tab wo ek bilkul elm e rohani k qawanin se anjanay the.aur chhoti si cycle repair ki dukan chalatay the.
aaj kai paichiday qawaneen jantay hai aur rohani mas,alay hal kartay hai.aur aaj bhi muzsay rabta rakhay huvay hai.

aj se 1 do mahinay pahlay ayub sahb ne muz se mashwarah lay kar jin se dostiwala amal shuro kia aur rozana paid k pas janay lagay.
aur har din muzay apnay tazurbay share kartay.
kuch din b,ad hi usay khwab me wo paid nazar aaya aur uss paid se ek safed posh lambi dadhi walay buzorg hath me thal laykar nichay utaray aur thal me kuch nakdi rupay aur zawairat thay.
kuch din b,ad usay wo safedposh buzorg khwab me uskay pas aakar baith tay aur cigaratte pitay.
estarha k kai khwab nazar aaya aur ekdin wo khwab me aakar usay bolay ki tum fala jagah se rupay nikal kar mere liye kimmti aur achha itr lay aana.jab ayub sahb ne mera rabta kar kay haal bataaya to meine usay kaha ki aap wo rupay laynay na jao par meine usay nazranay ki taur par mere paas saudi arab se ek ahbab ne di hui jisay meine khud bhi istemal nahi ki thi wo itr ki bottle bhej di aur likh dia ki aap apni taraf se ye itr pesh kar dayna aur kahna mera taufa kabool kar ke dost banjaye.aur amal lagatar kartay rahay.
usi raat phir khwab me aaye aur phir kaha ki tum wo rupay lelo.meine ayub sahb ko bataa dia ki aap bas dosti ki hi rat wahan paid par ja kar lagatay rahay aur rupay n lay.
kyu k agar Ayub sahb kimmat layletay to shayed wo dost na bantay ki usnay Ayub sahb ko khidmat ki kimmat ada kardi ab kaun sa ahsan rahayg2?
kuch din pahle ayub sahb ne muzay mail kia tha aur bataaya ki wo kamyab ho gaye hai,aur usnay bataya ki kuch pabandi hai to muzay ziada wo nahi bataa payengay.par wo batatay hai ki aaj mere pas jo bhi sael aata hai to uskay sawal pochnay se pahle hi me mere paas aanay ka sabb bataa deta hu,aur ye sunkar log hairat me parh jatay hai.aur aaj muzay ek zabardast amil se pahchana jata hai.

ye post meine Ayub sahb ki ijazat se likhi hai.

JIN

ROHANIAMLIAT: ROHANIHAZIRAAT:: ROHANIHAZIRAAT: ROHANI HAZIRAAT COURSE hamara rohani course to ab band ho gaya hai,kai ahbab ne join kia aur aj faizyab ho rahay hai aur k...

Sep 24, 2012

ROHANIHAZIRAAT:

ROHANIHAZIRAAT:
ROHANI HAZIRAAT COURSE
hamara rohani course to ab band ho gaya hai,kai ahbab ne join kia aur aj faizyab ho rahay hai aur kai ahbab sirf shak k dairay me ghumtay rah gaye.
ROHANI HAZIRAAT COURSE aj se shuroo hoga
jismay membership shuroo ho rahi hai.
jo ahbab join karna chahay
wo mere mail id pe apni detail send karday.
ye course 2 mahino ka hai aur fees 2100 rupay rahaygi.
haziraat92@gmail.com
es rakam se hamaray garib murid bhaio ki imdad ki jayegi.

Sep 13, 2012

QUWAT E TASKHEER

taskheer k kai types hai,koi khusoosi taskheer chahta hai koi aam taskheer chahta hai.kai aamaal bg meine khud aazmaaye aur kamyabi bhi hasil ki (ye mere murshid k karam se ata karda rohani key se)
aur kai hairatnuma result bhi dekhay.
par yahan aj mei jo ek mera aankhon dekha haal byan karnaywala hoon,usay parhkar aap bhi hairat me parh jaengay.
ekbar ham sab hamaray murshid k hamraah ek safar par gayen the.jahan b,ad e johar sab murshid ki mahfil me hazir thay.aur kai topic par baat hotay hotay quwat e taskheer par baat chal parhi.aur kai aisy malumaat hamaray daaman me aayi jo n koi kitaab me parhnay ko mili thi n kisi se sooni thi.kai aisay nuskhay bhi,aur chutkulay bhi aur taskheer k totkay bhi hamari joli me aayen.
phir baba jaan ne kahan ki kya tum taskheer ki kuwat ko apni ankhon se dekhna chahtay ho?
ham sab ne ek hi aawaz me hami bhari.
to babajan ne kahaa ki jao mahammad tausif(jiskay ghar me ye mahfil thi.) apnay aangan se 7 chhoti kankariya le aaon,aur ek thali bhi.
jab babajan k samnay wo thali(plate) me kankariya pesh ki gayi to babajan ne usmay se ek kankari uthali aur kuch aahista se parha aur kankari pe phoonka.
phir wo kankari ko thali me ek jagah par pakar rakhi.ham sab ye hairat se dekh rahen the ki kya hoga?
kuch der b,ad jahan babajan ne kankari pakar rakhi thi wahan hamnay dekha ki sab kankariya jamaa ho gayi thi.par tab hamari samaj me kuchh n aaya.
hairat me to ham tab parh gayen jab babajan uss kankari ko thali me jahan jahan ghoomatay baki sab kankariya pichhay pichhay chal parhti maano jaise koi talib matloob k pichay pichay.
ye dekh kar ham sab ek dusray k mooh dekhtay rahay.
kuchh dair b,ad babajan bolay dekho esay kahtay hai kuwat e taskheer.
chahay jandar ho ya bejan har kisi ko basmay karlay.
aur kahan aur ye hai es taskheer ka tor,ye kahkar jo kankari hath me thi uss par kuch parh kar phonka.
aur phir se wo kankari thali me ghoomayi par ab to koi kankari pichha nahi karti thi.
hamnay kahan ki mashallah sarkar ye apki karamat hai to babajan ne kahan nahi mere beton ye to ek amil ki kuwat e taskheer ka namunaa tha.karamat to es jaisy chizon se kai goona buland o baalaa hai.

mere doston ye jo bhi ho par agar sahih rahnomaee aur yakin kamil ho to insan aj k daur me bhi elm e rohaniat k maidan me kamyabi k darzax tay kar sakta hai.
ek amil bhi kai hairatnuma karnamay ko anzam de sakta hai.par yakin,qawaneen aur rahnumaee ki zarorat hai...!