Nov 6, 2012

JADU KI KAAT MERA MUZRRIB AMAL PART 1

Jadu tona to zamanay e qadim se chala aata hai.aur aaj kal ye
jadugaron se ziada apno se khatra hai,choti choti baton pe jadu se
ghar ko barbad karadaytay hai.
Jadu-sifli bahot hi taqtwar hota hai aur jald asar dikhata hai.agar
sahih se elaj n kiya jayen to ek chota jadu ka totka bahot hi barha
tabaahkun toofan insan ki zindgi me laata hai.
Jadu ka shikar mein khud bhi hua hun aur jadu ki sidat ko mahsoos kar chuka hun.

Aaj se 12 sal pahlay hamaray karobari jagah par ek gair muslim shakhs
se jagda hua tha aur wo ek jadugar tha aur jab unsay meri ladai hui to
usnay kaha ki mei teri int se int bajaa dalunga.
Muzay kuch andaza nahi tha k uska kahnay ka matlab kya hai.
Jab meri ammi ko ye b,at pata chali to usnay muzay kahan ki wo sab
jadugar hai apni hifazat karke rahna par tab me sirf salat sunnat ka
paband tha aur kuch chotay chotay wazifay parha karta tha.
Aur meine uss jadugar ki b,at par koi tawojah nahi di.
Par kuch din b,ad muzay tarah tarah ki mushkilay honay kagi.rat me
khwab parayshan kartay.jaisy kisi ki maut honaywali ho.aur dil me
ghbrahat rahti.ajib ahsas tha.
Phir namaz me muskilat honay lagi aur jab bhi namaz ka waqt hota to
badan se jaisy takat nikal jati.
Mein aksar sochta ki mere peer o murshid k paas ja kar apna hal byan
karun. par ye sirf sochnay tak hi mahdood rahta.aur har waqt mere
badan me susti rahti jaisy badan me bukhar ho.
Mere gharwalon par bhi kai mushkilay aanay lagi.
Aur ghar me choti choti baaton pe jaghda ho jata tha.jaisy sab me
muhbat khatm hi ho gayi.
to Read part 2 plz click link below....
https://rohaniamliat.blogspot.com/2012/11/jadu-ki-kant-part-2.html