Nov 6, 2012

JADU KI KAAT PART 2

Aur rupay paisay se jaisy barkat hi khatm ho gayi thi.aur aisy kai
takalif ka mein aur meri family samna kar rahi thi.
Ek rat jab me soya tho khwab me mere murshid e pak tasrif layen aur
bahot gusay me thay.aur kahan ki agar teri muskil me meri madad nahi
layni thi to muzay apna murshid hi kyu banaaya?

Mein aaj tak ye b,at sochta hun to meray rongtay kharay ho jatay
hai,ki uss rat mere murshid khwab me aayen the ya rubaroo?
Kyun ki muzay jab wo ye kah kar chalay gayen to darwaja khol kar gayen
aur jab meri aankhen khuli to mere kamray ka darwaja khula tha.jisay
meine band kia tha.
Jab me sub,ah uthkar paas ki masjid me namaz parh kar bahar nikla to
mere mureed bhai salimbhai milay usnay kahan ki babajan muzay yad
farma rahay hai.
Aur me ghar ja kar jald hi apnay murshid se milnay nikal parha jo
karib 60 k.m. Door hai wahan pahocha aur babajan se sab mamlat byan
kiyen.tab babajan ne btaya ki muzpar sakht jadu hua hai.aur aaj hi
elaj nahi kiya to kisi ki jan ja sakti hai.
Babajan ne kuch saamaan mangvaya.aur sab kuch muzay samja kar ek bhai
yusoof t.v.walay ko hamrah bhej kar ravaana kar diya.aur meine aur
yusoofbhai ne ghar aakar sab kuch waisy hi kar dia jaisy murshid ne
hukm dia tha aur rat ko sab saman rat ko kabristan me dafan kar
aayen.aur ab muzay aur gharwalon ko kafi acha mahsoos hota tha.
Par kuch din b,ad meri ammi ki tabiyat bigar gai aur muzay paitdard ki
taklif shuroo ho gaya.
Mein sidha murshid k bargah me chala gayan.murshid ne kahan ye
shaitan(jadugar) k iraday thik nahi...
To Read part 3 click link below...
https://rohaniamliat.blogspot.com/search?q=part+3