Nov 17, 2012

BIWI KO MUSKHAR KARNAY KA AMAL:

بسم الله الرحمن الرحيم

Agar biwi zabandaraz ho aur nafarmanian karti ho to budh k deen tuloo
aftab se pahlay matti k koray aabkhuray
me kuvay se paani layen aur 786 martba bismillah hir rahman nir raheem
aur awal-akhir 5-5 martba durood e paak parh kar dam karayye paani
biwi ko peelayen, muskherho jaegi
Aur muhbat se pesh aaegi

NA-FARMAN BIWI KO FARMAn BARDAR KARNAY KA AMAL:

NA-FARMAN BIWI :
nafarman biwi ko raah e rast par laanay k liye ism paak
YA WADOODU
20 martba parh kar sheerni par dam karay aur kisi bhi tariqay se biwi
ko khiladay.ye amal 5 din karay.inshallah biwi farmanbardar ho jaegi.

Nov 15, 2012

Bismillah sharif

Meine ek amal bismillah sharif ka ek amal jo 9vi muhrram ko 600
martba likhna hai.

Par jo kamjor hazraat hai wo agar 600 martba nahi likh saktay to ek
dusra amal bismillah sharif ka likhta hun.par ye apko kal yani 1
muhrram ko karna hai.
Zafran aur arq gulab se safed kagaz pe 113 martba بسم الله الرحمان الرحيم
Likhay aur apnay paas rakhay.inshallah saal bhar masaaeb aur aafat se
mahfooz rahaenge.

Jo hazraat 600 martba likh saktay hai to usay wohi tyyar karna chahiyen.

Nov 6, 2012

JADU KI KAAT MERA MUZRRIB AMAL PART 1

Jadu tona to zamanay e qadim se chala aata hai.aur aaj kal ye
jadugaron se ziada apno se khatra hai,choti choti baton pe jadu se
ghar ko barbad karadaytay hai.
Jadu-sifli bahot hi taqtwar hota hai aur jald asar dikhata hai.agar
sahih se elaj n kiya jayen to ek chota jadu ka totka bahot hi barha
tabaahkun toofan insan ki zindgi me laata hai.
Jadu ka shikar mein khud bhi hua hun aur jadu ki sidat ko mahsoos kar chuka hun.

Aaj se 12 sal pahlay hamaray karobari jagah par ek gair muslim shakhs
se jagda hua tha aur wo ek jadugar tha aur jab unsay meri ladai hui to
usnay kaha ki mei teri int se int bajaa dalunga.
Muzay kuch andaza nahi tha k uska kahnay ka matlab kya hai.
Jab meri ammi ko ye b,at pata chali to usnay muzay kahan ki wo sab
jadugar hai apni hifazat karke rahna par tab me sirf salat sunnat ka
paband tha aur kuch chotay chotay wazifay parha karta tha.
Aur meine uss jadugar ki b,at par koi tawojah nahi di.
Par kuch din b,ad muzay tarah tarah ki mushkilay honay kagi.rat me
khwab parayshan kartay.jaisy kisi ki maut honaywali ho.aur dil me
ghbrahat rahti.ajib ahsas tha.
Phir namaz me muskilat honay lagi aur jab bhi namaz ka waqt hota to
badan se jaisy takat nikal jati.
Mein aksar sochta ki mere peer o murshid k paas ja kar apna hal byan
karun. par ye sirf sochnay tak hi mahdood rahta.aur har waqt mere
badan me susti rahti jaisy badan me bukhar ho.
Mere gharwalon par bhi kai mushkilay aanay lagi.
Aur ghar me choti choti baaton pe jaghda ho jata tha.jaisy sab me
muhbat khatm hi ho gayi.
to Read part 2 plz click link below....
https://rohaniamliat.blogspot.com/2012/11/jadu-ki-kant-part-2.html

JADU KI KAAT PART 2

Aur rupay paisay se jaisy barkat hi khatm ho gayi thi.aur aisy kai
takalif ka mein aur meri family samna kar rahi thi.
Ek rat jab me soya tho khwab me mere murshid e pak tasrif layen aur
bahot gusay me thay.aur kahan ki agar teri muskil me meri madad nahi
layni thi to muzay apna murshid hi kyu banaaya?

Mein aaj tak ye b,at sochta hun to meray rongtay kharay ho jatay
hai,ki uss rat mere murshid khwab me aayen the ya rubaroo?
Kyun ki muzay jab wo ye kah kar chalay gayen to darwaja khol kar gayen
aur jab meri aankhen khuli to mere kamray ka darwaja khula tha.jisay
meine band kia tha.
Jab me sub,ah uthkar paas ki masjid me namaz parh kar bahar nikla to
mere mureed bhai salimbhai milay usnay kahan ki babajan muzay yad
farma rahay hai.
Aur me ghar ja kar jald hi apnay murshid se milnay nikal parha jo
karib 60 k.m. Door hai wahan pahocha aur babajan se sab mamlat byan
kiyen.tab babajan ne btaya ki muzpar sakht jadu hua hai.aur aaj hi
elaj nahi kiya to kisi ki jan ja sakti hai.
Babajan ne kuch saamaan mangvaya.aur sab kuch muzay samja kar ek bhai
yusoof t.v.walay ko hamrah bhej kar ravaana kar diya.aur meine aur
yusoofbhai ne ghar aakar sab kuch waisy hi kar dia jaisy murshid ne
hukm dia tha aur rat ko sab saman rat ko kabristan me dafan kar
aayen.aur ab muzay aur gharwalon ko kafi acha mahsoos hota tha.
Par kuch din b,ad meri ammi ki tabiyat bigar gai aur muzay paitdard ki
taklif shuroo ho gaya.
Mein sidha murshid k bargah me chala gayan.murshid ne kahan ye
shaitan(jadugar) k iraday thik nahi...
To Read part 3 click link below...
https://rohaniamliat.blogspot.com/search?q=part+3

JADU KI KAAT PART 3

Murshid ne muzay pas bithakar sab samjaya aur muzay ek dua parhnay ko
di,aur kahan ki betaa kuch bhi jayen muqrrar waqt me hi parhtay
rahna.aur muzay dua dekar rukhsat kia.
Ye murshid ki taraf se muzay ba,ijazat mila amliat me pahla wazifa tha
jo muzay tarkeeb k sa,at likhwaya aur samjaya tha.
Phir ye 41 din k liyen me ye hirz -dua parhnay na shuroo kia.aur kuch
din hua tha ki wo jadugar sakht bimar parh gayan.jaisy jaisy meray
parhnay k din gujartay wo aur bimar hota ja rahan tha aur meine ye dua
parhna jari rakha tha jab 23va din aaya to khabar mili k wo jadugar
char paee me apna sar patak patak k mar gayan.
Me dar gayan aur socha ki amal ab chhor dun.aur dil hi dil me afsos
karnay laga ki meri hi wajah se wo maara gayan.meine
Murshid se b,at ki to btaya ki tera ya teray gharwalon ka ye hal hona
tha jo uska ho gaya.aur btaya ki abhi khatra talaa nahi hai aur parhna
jari rakhon.
Aur jab 39 ve din ki sub,ah khabar mili k uska baitay ki bike aur bus
ki takar k accident me maut ho gayi hai.
Aur jab 2dim b,ad parhay khatm hui to mein apnay murshid k paas gayan
tab murshid ne farmayan 'jo jo karay so so bharay'
Aj mein apko ye dua jo jadu ko palat dayti hai wo share kar rahan hun.
Mere ek blog reader janab FAROOQ SAHB ne muzay jadu ke shikar logon k
liyen ek alag blog likhnay ki request ki thi.jisnay muzay ye b,at
share karnay par majboor kar dia.

JADU KI KANT 4 ZABARDAST MUZRRIB AMAL:

Un tamam bhaim bahno k nam amal karta hun jo kisi jadu k shikar hai...!

Ye dua rozana 101 martba parhna hai awal o akhir 3 - 3 durood e pak
parhna hai.aur
11 bar ayetal kursi parhlay aur apnay gird
hisar(circle)karlay.agarbatti jalaye 41 din ek hi waqt mukrrar par
parha karay.

Wo dua ye hai...

Bismillah hir rahman nir raheem.aayetal kursi dil qur,an majeed aab
chalay tu rahmaan,
Halkay halkay 7 aasmaan,saaton akelay ek darbaan,paon rakhay jibrael
alayhissalam dharh rakhay rahmaan,kamar rakhay muhmmad mustufa
sallallahu alayhi w sallam,
Chhillah karay chhalla karen,jadoo karay jo, jo karay so maray.ulat
bhed uska usii par parhay,sab milay hazrat mustufa sallallahu alayhi
w sallam naam le.
Haq la-ilaha illallahu muhmmadur rarool-allah sallallahu alayhi wasallam.

Note:
Ye amal ki ijazat sirf un logon ko hai jo jadu ka elaj kar kar ke
thak gayen ho,ya bar bar jadugar sataata hon.ye chotay chotay jadu ki
kant k liyen istemal nahi karna hai.

Nov 1, 2012

SIFLI AMIL KA AMAL SALAB KARNA:

Agar kisi badkar sifligar amil ka amal zaayen karna ho to ye amal
karay.aur khidmat e khalq ka sawab w nekiyan hasil karay.kyun k aksar
sifligar logon ko parayshan karta hai.kisi ke karobar ko band kardayta
hai to kahin miyan-biwi me larhay jagrhay karata hai to kisi pak daman
sharifa ko kisi badkar k chakkar me fasaa detaa hai.
Aisa koi sifli amil ho to ye amal kar ke usay ek dam khali ek aam admi
ki tarha karday.uski barson ki mahnta pe paani phair de.
Ye amal har tarha k sifli amil pe kam deta hai chahay nam ka musalman
ho ya hindu yahoodi ho.
Ye amal meine ab tak sirf ekmartba aazmaya hai.hua yun tha ki hamaray
ek hamdard bhai a.raheem scrapewalay pe ek nam k musalman sifligar ne
jadu kardiya.jab tabiyat bahot kharab hui to mere pas layen.
Meine murshid k atta karda aamal w tarikay se elaj kia aur usko allah
ne shifa ata ki.par kuch din b,ad phir uspar sakht hamla hua.aur meine
jald jald kaat kardi warna jaan ka zokhim tha.
Ab muzay laga ki usko rokna parhayga warna kai bekasooron ko parayshan karayga.
A.raheembhai ki biwi k zariye uss khabis amil ka estemalshuda banyan
mangwaliyan aur uskay saray aamal zayen kardiyen.wo apni takt kho kar
pagal jaisa ho gayan aur khud bhi bimar ho gayan.
Aj hamara gaon chhor kar chala gayan hai.
Muzay laga ki ye amal share karna chahiyen kyun k agar kisi ne kia aur
ek sifligar ko bhi khali kardian to n janay kitnay afrad musibaton se
bach jaenge.
Ha,kisi pak amil k amal ko salab karnay me ye amal na estemal
karay.warna kai musibaton k shikar ho jaenge.

Tarkeeb:
Kisi tarha aur koi bhi tarikay se sifli amil ka pahna hua kapra jismay
uska pasina laga ho,maslan,juba, shirt,banyan jo bhi mil sakay hasil
karlay aur uss kapray par jo meine nichay kalmaat likhay hai wo
11 martba usskay kapray par likhay aur en kalmaat mubarak ko 11000
martba parh kar kapray par dam karay.aur b,waqt e zawal es kapray ko
kabristan me dafan karday.chahay purani qabr me dafan karay ya
kabristan ki zameen me.b,fazlay khuda amal zaayen ho jaega.
Amal karnay se pahlay 11martba aayetal kursi parhkar badan par phoonk lay.
Kalmaat ye hai:
یا قابضُ فلاں بن فلاں کا فلاں عمل قبض کرو بحق  لا الہ الا اللہ الملک الحق المبین

YA QABIDU falan bin falan ka falan amal kabz karon bi-haqqi la-ilaha
illallahul malikul haqqul mubeen.

Haziraat92@gmail.com

SAKHT MUSHKIL SE NIJAAT HASIL KARNAY KA AMAL:

Jab sakht mushkil ho, parayshaniyan damangeer ho izzat khatray me ho
rozgar ki halat behal ho,dushman ne sataa rakha ho to hasb e zail amal
tamam musibaton se nijaat hasil karnay k liyen akseer hai.

Uroj maah(chand ki 1 se 15 tarikh) me jumerat ko raat k 12 baje pak w
saaf kapray pahan kar bawuzu
Surah e yaseen sharif parho.har mubeen par ek martba surh e muzammil
sharif aur 7 martba surah e feel parhay.
Awal akhir durood e pak 11-11 bar parhay.
Mudat amal ki jab tak apka mas,ala hal n ho tak tak rahaengi

Kaisy hi sakht mushkil ho allah hal farma dega.
Inshalla.

SAAL BHAR ROZI ME BARKAT W IZZAT HASIL KARNAY KA AMAL:

Ye amal kai saalon se mein khud apnay liyen kia karta hu.
Aur meine eskay kafi fawaed dekhay.
Ye amal mere tamam bhaion ko nazar karta hun jo tangi aur zillat ka shikar hai.

Tarkeeb:
Ye sirf saal me ek bar kia ja sakta hai,
MAAH E MUHRRAM
me.
Muhrram sharif me 9vi tarikh ko
بسم الله الرحمن الرحيم

Ko safed kagaz par zafran w arq gulab se 600 martba  likhay.
zafran ki ye siahi aap
faountan pen me bhar kar bhi likh  saktay.
Wazu khushrbodar agarbatti jalakar qibla ro beith kar achhi sa,at me
likhay.ha,jisay sa,at ka ilm nahi wo jo bhi waqt mayassar aayen usmay
likhay.par mauka hath se n janay de.allah aapki mahnat ko khali nahi
janay dega.
Likhnay me airab laganay ki zarorat nahi.meine jaisy yahan likha hai
waisy hi likhlay.mahnat to lagaygi par faeda bhi barha hasil hoga.
Jab likhlay to ye kagaz lapayt kar haraa(green)reshmi kapray me lapat
kar momjama karke ya to galay me pahnay ya bazu par bandhlay.ya shirt
ki upar k poket me rakhlay.
Es kapray pe itr (khusboo) lagatay rahay.
Koi sawal ho to mail karkay daryaft karlay.

Haziraat92@gmail.com