Jul 26, 2013

NAMAZ E MUHBBAT:

ES NAMAZ K BAARAY ME KAHA GAYA HAIN KI AGAR YE NAMAZ JANGAL ME PARHI
JAEN TO US JANGAL K TAMAAM JANWAR PARHNAY WALAY K TABAY HO JAEN AUR
AGAR PAHAAD PAR PARHI JAEN TO PAHAAD USKAY SATH CHAL PARHAY.YE TO
BUZOORGAN KAR SAKTAY HAIN HAM MAY WO YAKEEN AUR ZABAN NAHI JO USKAY
PAS THI,JO BISMILLAH KAH KAR QAATIL ZAHAR PEE LE AUR ZAHAR ASAR NA KAR
PAYEN.ALLAH KA KALAAM WOHI HAIN BAS HAMMAY FARK AAGAYA HAIN.
KHAIR MAIN YAHAN EK ZABARDAST AMAL LIKH RAHAN HUN. ZABARDAST ESLIYE KI
ESMAY NAMAZ HAIN NAMAZ KI QUWWAT BAHOT BARHI HAIN,AUR DONO JAHAN KI
BHALAYI HAIN,
ES NAMAZ SE WO BAHANAY KAAM LE JISKAY SHOHAR USKA KHYAL NAHI
KARTAY,NAFRAT KARTAY HAIN AUR WO SHOHAR KAAM LE JISKI BIWI ME MUHBBAT
NA PAYI JATI HO NAFRAT PARH GAYI HO.INSHALLAH KALAAM APNA ASAR
DIKHAEGA AUR AAPKO SACHI MUHBBAT NASHEEB HOGI.
WAISAY HAMARAY SAARAY MASAEEL KA HAL NAMAZ ME HAIN,BAS UNKAY DAR PAR
SAR JHUKAANA SIKHLO,AKSEER BANJAONGAY.

TAREEQA:

4 RAK,AT NAMAZ E MUHABBAT KI NIYYAT SE PARHNI HAIN WAQT KI QAID NAHI.
NAHI MUQRRAR WAQT KI ZAROORAT HAIN.AGAR ISRAQ K WAQT PARHAY TO BEHTAR
HAIN.JO KHAYL RAKHNA HAIN WO YE KI GEENTI ME KAMI BESHI NA HO JAEN.

PAHLI RAK,AT ME 40 MARTBA SURAH E FATEHA AUR 10 MARTBA SURAH E IKHLAS
PARHNA HAIN.

DUSRI RAK,AT ME 30 MARTBA SURAH E FATEHA AUR 20 MARTBA SURAH E IKHLAS
PARHNA HAIN.

TISRI RAK,AT ME 20 MARTBA SURAH E FATEHA AUR 30 MARTBA SURAH E IKHLAS
PARHNA HAIN.

4THI RAK,AT ME 10 MARTBA SURAH E FATEHA AUR 40 MARTBA SURAH E IKHLAS
PARHNA HAIN.

JAB NAMAZ SE FARIG HO JAEN TO 3 MARTBA YUN KAHAY.....

SUB,HANALLAH DIL <falan bin falan>KA BICH KAAM MERE KAR,
ALHAMDULLILAHI <falan bin falan>KI NAZAR KO MERI TARAF KAR,
LA ILAHA ILLALLAH <falan bin falan> KA KAAN MERI TARAF LAGA,
HAMAATAN MUTEEY AUR MUSKKHAR <falan bin falan>KO MERE KAR.
AB 41 MARTBA SURAH E NAAS PARHAY.
***************************************************************************************
AUR GHEHOON(weat)KI 12 ADAD ROTIYA AUR HALWAY PAR FATEHA KHWANI SHOHDA
E QARBLA KI DE .EK HAFTA KARARENGAY TO INSHALLAH MATLOOB SAARI UMR
MUHBBAT W FARMABARDAR RAHAEGA.
KOI PARHEZ NAHI HAIN.AUR HAR JAEZ MAQSAD ME KAAM LE SAKTAY HAIN,CHAHAY
BIWI SHOHAR KA MAMLA HO YA BOSS KO RAZI KARNA HO YA KISI RUTHAY HUA
APNAY KO MANAANA HO
SARKAR IMAAM E PAK KARAM FARMAENGAY AUR KAMYAB RAHAENGAY.

Jul 11, 2013

HASB E MANSHA SHADI W HAR MAQSAD K LIYE EK TAQTWAR AMAL:

ajkal karhkiyo ki shadi ka mas,ala maa baap k liye parayshanion ka
sabb banaa hua hain.
ghar ghar larhkiyan shadi k intzar me burhi ho rahi ahin.maa baap ki
nind haram ho gayi hain.
min yahan aap ko ek zabardast amal batata hu jissay ye mas,ala
yakeenan hal ho jata hain.
ISM E PAK YA LATEEFU K AADAD 129 HAIN.
ab ek tasbih me 129 paaray dal lay.
ab kisi bhi sa,ad din nauchandi jumua behtar rahega,se es maqsad se
amal ko parna shuru karay.awal o akhir 11-11 martaba durood e pak aur
es tasbih ko 129 martba parhay.yani 129 paaraywali tasbi 129 martab
parhi jaen.total tadad hogi...16,641.
har bar jab bhi ek tasbih puri karay ...

لَا تُدْرِكُهُ الْأَبْصَارُ وَهُوَ يُدْرِكُ الْأَبْصَارَ ۖ وَهُوَاللَّطِيفُ الْخَبِيرُ 

       su.anaam aayat 103.

ko 3 martaba parhay aur zaban se apna maqsad byan karay.phir YA
LATEEFU ki tasbih parhna shuru karay.
inshallah 40 din k andar andar khuda maqsad bar laega.
amal me koi parhez ki zaroorat nahi.bas parhtay waqt tadad ka khyal
arakhay kami beshi na ho.ek din ka amal hain,na parh payen to tadad ko
3 se divide karkay 3 din me pura karay.par waqt w jagah muqrrar
rakhay.bawuzu pak saf jagah pe khusboodar agarbattian jalakar parahay.

Jul 7, 2013

MUJRRIB AMAL DAST E GHAIB :

Kai mere blog readers bhai w bahan ne request ki thi ki main koi ghar
me kar sakay aisa amal dast e ghaib post karu.usi mere bhai w bahan k
naam mera ye aazmuda kamyab amal nazr kar rahan hun.inshallah ALLAH
apko es amal se har maali parayshaniya se mahfooz karay,aga, apko apkay
bacho ko kabhi kisi k aagay hath failanay ki zaroorat na parhaegi.
dast e ghaib yani aapki jaez zarooraton ka khuda ghaib se intzam
karday.kisi bhi tareeqay se ye nahi ki aapnay zeb me hath dala aur
rupay ki garhi nikaal li.koshish karay ALLAH kisi ka mohtaj na karay ye
hi sab se barhi kamyabi hain.
mujay jaisay amal mila hua hota hain main waisay aap tak phochata
hun.aap bhi baal ki khaal nikalay bagair amal karay,ALLA ki zat pe
bharosha rakhye wo kuch galti hogi to bhi apki mahnat bekaar nahi
janay dega.
meri aadat tedhay medhay amaliat likhnay ki nahi.main to wohi amal ko
manta hun ki jo main kar saku wo aap bhi kar sakay,na  kuway pe latkaya
jaen,na wiranay me bhatkaya jaaen,na bhari bharkam alfaz ki matlab
talash ne me hi 40 din ho jaen.main ye amal bilkul waisay likh rahan
hu jaisay mujay mila aur yakeen dilata hun ki es amal ko sahih se kar
liya to kabhi kisi k mohtaj na hongay.aagay ALLAH ki marzi.
ab main yahan tarkeeb aasani se likhta hun aap bhi gaur se samajlay...

TARKEEB

ye amal 7 dinon ka hain.mahina koi ho jumerat ko roza rakhay aur fahas
w jooth se door rahay,bila zaroorat na bolay jo  zaroori ho wohi
bolay.aur ho sakay to en 7 din gosha nashin rahay. na kisi se
milay,julay,na baat karay.amal k dauran gosht har qism ka parhez
rakhay.kacchi pyaz,mooli,lahsoon ka istemal na karay,pakki kha saktay
hain par agar wo bhi na khaye to behtar han.
jumerat ko roza rakhay aur namaz e  isha b,ad se amal shuru karna
hain.amal ko aap isha se dusray din ki magreeb tak me yani din raat me
parh kar khatm kar saktay hain.ek nashist me parhna zaroori nahi.es
aayaat ko 1000 martba parhna hain.

سورة الأنعام - Al-Anaam: Verse 59
وَعِنْدَهُ مَفَاتِحُ الْغَيْبِ لَا يَعْلَمُهَا إِلَّا هُوَ ۚ
وَيَعْلَمُ مَا فِي الْبَرِّ وَالْبَحْرِ ۚ وَمَا تَسْقُطُ مِنْ وَرَقَةٍ
إِلَّا يَعْلَمُهَا وَلَا حَبَّةٍ فِي ظُلُمَاتِ الْأَرْضِ وَلَا رَطْبٍ
وَلَا يَابِسٍ إِلَّا فِي كِتَابٍ مُبِينٍ


quran sharif me dekh kar sahih parhna hain.
11 durood e pak parhna hain.agar durood e tunajjina parhay to bahot
behtar rahaega.
phir 1000 martba YA HAYYU parhay.
phir 150 martba YA QAYYOOM parhay.phir 11 martba durood pak parhay.ye
amal ek din ka hua,ab aap chahay ek nashist me ya ek raat ya ek din me
ya din aur rat me pura karay,par har haal me aapko dusray din isha se
phlay parhlaena hain.aur b,ad e isha dobara shuru kar dena hain.7 din
ka amal hain yani jumerat ko shuru karkay budh ko khatm hoga.es  amal
se inshallah aap kabhi rizq ya kharch k mamlat me kisi k mohtaj na
hongay.qarzdar hain to qarz door hoga aur tangi door hogi. 7 din khuda
w uskay rasool sallallahu alayhi w sallam ki famabardari w gulami me
guzray inshallah aapki zindgi k ye 7 din yaadgar banjaengay.uski zaat
pe bharosha karkay mahnat karo wo kisi ki mahnat ko bekaar nahi janay
deta kyu ki wo sab se behtar majdoori denay wala hain.

Jul 3, 2013

HIFAZAT E HAMAL:

GEERTA HUA HAMAL ROKNAY K LIYE(ISQAT E HAMAL):
Agar kisi aurat ko hamal kuchh mahinay k b,ad ya puray mahinay honay k
karib haiz ka khoon jary ho jata ho ya kisi aurat ko hamal b,ad haiz
ka khoon jary honay k aasar nazar aaye to us waqt ya hamal k thahar ne
k b,ad kachha laal dora k 41 taar aurat k peshani k baal se paon k
anguthay tak naap lay.us doray pe ye amal 7 martba parh kar ek girah
lagaye.esi tarha 7 girah lagaye.aur ye dora aurat kamar me naaf par
bandh lay.bachay ki paidaesh k aasar tak bandha rahnay de.
الصبور لااله الا الله محمد رسولالله
AS-SABOORU LA-ILAHA ILLALLAH MUHAMMADUR RASOOL ALLAH.