Sep 24, 2013

HAL AL MAQASID:



511 aadad ka murbba aksar kitabon me likha hua hota hain par mujay aaj tak es aadad ka raz pata nahi chala hain,mainay en do asma ki jod me ye aadad paya..
الجبار القادر
dono hi asma qawee hain.ye 511 k naqsh me asar andaz hain to koi hairat ki baat nahi ki logon ko ye naqsh faiz pahochaye aur musibat me madad karay.
mujay es naqsh k 3 tareeqay hasil hua hain jo likh raha hun...

AMAL NO.1
jo musibat bala me ghira ho,maali halaat kharb ho karobar nahi,mulazimat nahi,karobar bandh honay ko hain,custmers nahi miltay,bikri nahi hoti,qarz ada nahi hota matlab ki ummiday khatm ho kar mayoosi aur na ummidi ne jakarh liya hain wo es amal ko karay.inshallah hukm e rabbi se rabb ki rahmat baras parhaegi.
urooj maah me budh jumerat aur jumua pabandi se namazay ada karay aur har namaz k b,ad durood e pak aur istigfaar 100-100 martba parha karay.
ab jumua ka din guzar kar jo raat aaye us rat me b,ad e isha gusl karay,pak libas pahan kar 2 rak,at namaz kaza e hajat parhay.phir 11x durood e pak aur 101x su,ikhlas sharif aur 41 bar
يا حي يا قيوم برحمتك استغث
Yaa Hayyu Ya Qayyum, Bi Rahmatika Astaghees aur ek bar

وَمَن يَتَّقِ اللَّهَ يَجْعَل لَّهُ مَخْرَجًا
وَيَرْزُقْهُ مِنْ حَيْثُ لَا يَحْتَسِبُ وَمَن يَتَوَكَّلْ عَلَى اللَّهِ فَهُوَ حَسْبُهُ إِنَّ اللَّهَ بَالِغُ أَمْرِهِ قَدْ جَعَلَ اللَّهُ لِكُلِّ شَيْءٍ قَدْرً
ا

wamayattaqi Allaha yajaal lahu makhrajan Wayarzuqhu min haysu la yahtasibu wamayatawakkal Aala Allahi fahuwa hasbuhu inna Allaha balighu amrihi qad jaala Allahu likulli shayin qadra.
(su.talaq a.2 aur 3)
parh kar aasmaan ki taraf phoonk maaray apni hajat k liye dua mangay.
11 durood e pak parhay aur zafran w arq gulab w nayi anar ki qalam se sufaid kagaz pe taweez likhay.ab naqsh k nichay apna maqsad likhay jiskay liye ye naqsh likha hain,fir aagay بحقّ يا جبارُ يا قادر(bihaqqi ya jabbaru ya qaadir) likhay.ab 511 martba yehi asma naqsh par parh kar dam karday.ab es naqsh ko frame karwa kar dukan me ya ghar me kisi buland jagah rakh de.aur har namaz k b,ad es asma ko 511 martba parha karay.awal o akhir 11-11 durood e pak zaroor parhay.41 din ka amal hain aur amal ki asar aapko 41 din b,ad nazar aaegi.

AMAL NO.2.
ek buzurg ne eski ye tarkeeb batayi hain..
apka koi bhi maqsad ho mulazmat tabadla,promotion,bikri ka kam hona,shadi me rukavat,aisay tamam mamlat me es taweez ko haftay me 4 din likhna hain,jumerat,jumua,itwar aur peer.
likhna waqt tuloo aftab k ek ghatay k andar hain.shuru nauchandi jumerat se karay.yani jumerat ko sa,at e awal me likhlay aur apni sidhi bazu pe bandh le.ab jumua ko bhi tuloo aftab k b,ad ek tawwez likhay aur jumerat wala naqsh nikal kar aaj ka naqsh bandhlay.jumerat ka jo naqsh hain wo kisi kuway me daal de.ab jumua ka naqsh bandha rahnay de kyu ki sanichar ko naqsh nahi likhna hain.jab itwar aaye to naya naqsh likhay aur jumua wala kuway me daal de.ab peer k din naya naqsh likhay aur itwar wala naqsh kuway me dal de.jo peer ka naqsh hain wo mangal aur budh k din tak bandha rahaega,phir jab jumerat aaye to naya naqsh likh kar peer k naqsh ko kuway me dal de.aisay 4 hafta amal karna hain.inshallah 4 haftay me aapko kamyabi ya kamyabi k aasar nazar aaengay.jo amal ka akhri naqsh hoga wo aap apnay bazu se bandhay rahnay de usay kuway me nahi dalna hain.

AMAL NO.3
ek buzurag ne eska ek aur tareeqa bataya hain ki...
agar kisi ki zameen jaaedad ya koi maal samaan ya ghar bik nahi raha hain,dukan me koi samaan bik nahi raha hain to urooj mah me ye amal karay.inshallah uski fikr door ho jaegi.
urooj mah jumerat k din agar nauchandi jumerat se karay to behtar hain.es naqsh ko JUMERAT KO TULOO AFTAB SE pahlay yani fajr k fauran b,ad likhlay.jab aftab tuloo ho to fauran es naqsh ko zameen hain to usmay garha khod kar rakh de upar koi nishan rakhlay.ab dusray din yani jumua ko bhi aisa hi karay.jumeraat wala naqsh nikal le aur uski jagah jumua ka likha rakh de aur jumerat ko likha hain wo kisi darya nadi ya talab ya kuway me dal se.aisa 16 din tak karna hain.inshallah aapki zamen ho ya koi maal samaan bahot acchay dam se bik jaegi.
note:naqsh me jo corners me numbers hain wo naqsh ki chaal samjanay k liye hain.asal naqsh me nahi likhay jaengay. 

Sep 18, 2013

EK AASAAN AMAL:





khuda ka pak kalaam na kisi se chhupa hain aur na kisi ki jageer hain,sab k liye esmay roshni hain duniya ki kon se bala w musibat hain jiska elaj w hal kalaam e elahi me maujud nahi?bas aitqad e kamil rakhye inshallah kalaam khud jawab dega.

ek bahot hi aasan par asardar amal pesh kar rahan hun jo inshallah har maqsad me kaam deta hain.

par pahlay eski zakwat ada karni parhti hain bagair zakwat k utna asar nahi aayega jissay aap apnay aur dusray k kaam kar sakay.

amal SURAH E INSHIRAH (ALAM NASHRAH) ka hain.

kholoos dil se kisi pak saaf jagah pe baith kar 21 martba 21 din tak qibla rukh ho kar b,niyyat e zakwat b,ad e isha parha karay.kuch agarbatiyan bhi jalayi jaen.

koi parhez nahi hain.kisi bhi mahinay se shuru kar saktay hain.

b,ad e zakwat 11 martba wird me rakhay.

inshallah es zakwat se aapko yw fawaaed hasil hongay...

rozgar me taraqqi,barkat,

izzat me taraqqi,har insan muhbat se pesh aaega.

berozgar ko rozgar milayga

kisi bhi dard pe 3 martaba dam kar day shifa hasil hogi.

qarz hoga to khuda e ta,ala ghib se kuch na kuch intzam farma dega.yaddast me ezafa hoga,

jo bachay parhayi se bhagatay ho usay pani ya doodh pe subah 3 martba parh kar dam karkay pilaye inshalllah parhnay me bhi dil lagayga aur zahan bhi tez ho jaega,jisko pathri(stone)ki taklif ho rozana 3plate pe zafran ya khanay k zard rang se likh kar de wo ek ek palate sub,ah dopahar sham piye,inshallah 21 din bhi na hogay ki pathary toot kar nikal jati hain.aur bhi bahot se faaeday hain.bas amal karay aur khud ko aur dusro ko faiz e qurani pahochaye