Oct 19, 2013

BARKAT KA TOTKA:

Aaj k daur me har insan parayshan hain,maali parayshanian ki wajah se adna se aala tak parayshan hain.wajah to fizul kharchi w aamdan se ziada kharch bhi hain.pahlay wajah ko talash karo phir elaj karo.kana'at sab se barhi daulat hain.aur jiskay pas ye daulat hain wo duniya ka sab se daulatmand insan hain.
khair duniya ki har parayshaniyon ka hal hamaray buzorgan ne hamay ata kiye hain.mujay aksar  tangdasti ka koi hal bataye aisay mails aatay hain.mainay mere es blog pe kai aisay aasan hal ya amal mere readers k liye likhay hain.aur main ziadatar qarzdar ya tangdasti k shikar ko ek hi aasaan elaj batata hun jo kmujay mere murshid ne bataya tha aur mera mamool hain agar wo na mere hath hota to sach me bhi kisi amil ya babaji se apni tangdasti ka elaj puchhta phirta,mere murshid ka crororo ahsaanat hain muj hakeer par.mere murshid ne mujay bataya tha ki din rat me jitna ho sakay utni ziada se ziada tilawat su.waqiya sharif ki kiya karo kabhi mohtaj to na rahogay par mohtajo k madadgar banjaongay.aaj me khud es ka mushahida kar raha hun ki mere sarkar k karam ne mujay kisi k aagay hath failanay ki nobat nahi aanay di hain.eskay elawa mujay ek tasbeeh ata ki jisay main rozana fajr k b,ad 100 martba parha karta hun wo su.yusoof ki aayat  hain...
 'WAALLAHU GHALIBUN AALA AMRIHI
bas ye do mere mamulat mere saray mamlat pe havy hain.
yahan mujay jo amal pesh karna hain wo bhi lajawab hain aur mere tajorbay me ekdam sahih utra hain.inshallah esay bhi aap sabhi zaroor tayyar karay aur parhayi karkay rohani quwat amal me bhar kar faaeda uthaye.
TARKEEB:
Ek bilkul nayi dibbi le chahay to metal ki ho ya chandi ki ya lakday ki.usmay khub aala qism ka itr andar lagaya jaen aur ek ruyee pe bhi itr lagakar under rakhde.ye amal kisi bhi mah ki pahli ya dusri jumerat ko kar saktay hain,ha qamar dar aqrab na ho.
Ab apnay mulk ka ek rupee ka coin le aur usay gulabjal se achhi tarha dholay aur loban ki dhuni de de.phir uspay zafran w arq gulab se arbi me محمّد muhammad likhay.esay phir loban ki dhuni de aur dibbi{small box} me rakh kar band karday.
Ab es dabbi pe 1000 martba 
 يا مغنىُ يا غنى
ya mughneeyu ya ghanee
parhkay dam karday.
Es dibbi ko jahan rupay paisay rakhtay hain,wahan rakh de.es dabbi pe ye amal har jumerat kiya jaen.inshallah puri zindgi kisi k mohtaj na hongay.
dam har jumerat karna chahiye aur kisi jumerat rah jaen to koi bat nahi.par har jumerat koshish karay to behtar hain.
amal se awal o aakhir 11-11 durood e pak zaroor parhay.
koi sawal ho to mails se puchlay.
haziraat92@gmail.com