Dec 28, 2013

KAAROBAR ME TARAQQI K LIYE:

 
Ye amal kaarobar ki taraqqi k liye bahot hi faaedaymand sabit huva hain.mere bhai jo es garz k liye kaafi koshish kar chukay hain wo ek bar es faqeer k tareeqay ko zaroor aazmaen.inshallah aapko zaroor kamyabi milaegi aur aapki karobari tarqqi hogi.
TARKEEB:

Ye amal aapko nauchandi itwar ki rat ko karna hain,yani chand dekhnay pe jo pahla sanichar aaen uska din guzar kar ho raat aaen us rat me ye amal karna hain.
isha ki namaz k b,ad se 12 bajay k pahlay tak amal parhna hain.12 bajay k b,ad eska waqt nahi.

Pahlay 7 martba durood e pak[agar durood e tunajjina sharif parhay to behter hain]
aur 70 martba surah e fateha sharif es tarkeeb se pahay ki bismillah sharif ki aakhri meem alhamdu k laam se milali jaen yani...
Bismillahir rahman nir raheemilhamdulillahi rabbil aalmeen....es tarha puri surah 70 martba parhay.

Ab peer ki rat me bhi esi tarkeeb se 6-6 durood sharif aur 60 martba surah e fateha sharif parhay.

Ab mangal ki raat ko 5-5martba durood sharif aur 50 martba surah e fateha sharif pahay.

Ab budh ki raat me 4-4 bar durood sharif aur 40 bar surah e fateha sharif parhay.
jumerat ki raat me 3-3 bar durood sharif aur 30 bar surah e fateha sharif parhay.

Jumua ki raat me 2-2 bar durood sharif aur 20 bar surah e fateha sharif parhay.
sanichar ki rat me 1-1 bar durood sharif aur 10 bar surah e fateha sharif parhay.

Es tarkeeb se har maah parh liya karay inshallah agar aapnay ye mamool bana liya to kabhi aapko es maqsad k liye koi bhi dusray amal ya aamil ki zaroorat na parhaegi,na koi bandish na koi nazr na kisi k kartoot karobar ko rok sakaega.sivaye khud ibadat me susti karay ya haraam halaal ka fark na karay.

Dec 26, 2013

ISLAMIC REIKY

mera ek dost ghair muslim hai aur wo reiky hilling karta hai aur mujay bataya ki aap muslim ko kabhi ghutno ka dard pait dard nahi hoga.kyu ki meine aplogo ki namaz ko dekh usmay jo pait pe hath rakhtay hai ghutno pe hath rakhtay hai ussay apkay gutnay reiky ki quwat se heal hotay rakhtay hai.meine kaha sahih hai par ye faaeda wohi paengay jo namazi hai.khair ye usnay jo dekha bataya aur namaz to hamaray liye sab se azim neamat hai,uskay deeni jismani rohani fawaaed hai.
jab mujay uskay tariqa e elaj rubaro dekhnay ka mauka mila to mein hairat me parh gaya aur meine jo dekha wo to mein kai saal pahlay kar chuka tha par aaj jana ki ye ek tariqa e elaj ki khas shakh maani ja rahi hai.
usmay to kuch parhna ya mantar tantar nahi hai par shayid 29 body points ko charge karna hota hai.kuch atpatay simbols the jissay elaj kia jata hai aur kuch shirkia b the.
khair
mein yahan apko ek hamaray norani amliat ka aisa hi amal batata hun jo reiky hi ki tarha hai.balki reiky bhi hamaray buzorgan k aisy amal se kisi ne irzad ki ho.
maah e shaban aaqa sallahu alayhi w sallam ka maah hai aur yaseen aaqa ka ism e mubarak hai ye amal bhi ism yaseen ka hai.
TARKEEB
ye hai ki rozana tuloo aftab k waqt ahram pahan kar apna muh aftab ki taraf karkay baithay aur aankhay bandh karkay
1000 martba

يد الله ياسين
YEDULLAH YASEEN
parhay.
jab 1000 martba parhlay to aftab ki taraf apni pusht karlay aur 1000 martba phir parhay.
aur akhir me dono hatheliyon par dam karkay hatheliyon ko aapas me ragday yaha tak ki garm ho jaen ab dono hatheliyon ko chehray par pherlay.
ye ek din ka amal hua kul 40 din ka amal hai aur koi parhez nahi par kisi din nagaa na ho ye zarori hai.
agar aftab k samnay kharay ho kar karay to behtar hai aur koi majboori hai jaisy baris k mausam me aksar aftab nazar nahi aata to ustaraf badal ko dekh kar taswoor me aftab rakh kar parhay.
40 din me amil ho jaengay.

ELAJ KA TARIQA
jab kisi mariz ka elaj karna ho to amil ahram pahanlay mariz ko sidha leta de
mariz ka rukh mashrik aur amil ka rukh magrib ki taraf ho.amil ankh band karkay 12 martba yadullahu yaseen dil me parhay.aur apni hatheliyan 12 martba ragday.aur mariz k mathay pe dono hath pheray.phir 12 martba ragad kar mariz k dil pe phir 12 ragad kar mariz ki hathelion par phir dono pair k talway par pherlay.
phir mariz k pair k pas kharay ho kar kahay marz door hua yadullahu yaseen ki barkat se aur sehat wapis hui.
zaroratan 5 ,9 ya 12 din amal karay.

Dec 23, 2013

MUJRRIB WAZAEEF:


1.MAHBOOB CHIZ KO HASIL KARNA:
har mushkil k hal k liye:
rozana 450 martba Hasbunallahu wa ni`mal Wakil': حَسْبُنَا اللَّهُ وَنِعْمَ الْوَكِيلُ parha karay.

2.IMT'HAN ME KAMYABI:
surah e yaseen ko 12 martba parh kar uskay waseelay se dua kiya karay.

3.SEHAT K LIYE:
namaz e fajr me sunnat o farz k darmian 41 martba surah e fateha parh kar dam karkay pilaya karay aur ye har la elaj marz ki dawa hain.yun prahay ki bismillah ki akhri meem alhamdu ki laam se milayi jaen...
bismillah hir rahman nir raheemilhamdulillahi...puri surah parhay.

4.HAFEEZA TEZ HO:
Har namaz k b,ad YA QAWEEYU ko 313 martba parh kar hatheliyon pe dam karkay sar par pher Liya karay.

5.JADOO AUR DUSHMAN SE HIFAZAT:
har namaz k b,ad su.fateha aaytul kursi aur 4ro qul parh kar hatho par dam karkay puray badan pe hath pher liya karay.

6.DUA KABOOL HONAY:
yaseen sharif parhkar uskay wasilay se dua karay.

7.QARZ SE NIJAAT :
rozana 505 martba YA FATTAHUYA RAZZAQU parh kar dua karay.

8.RANJ O GHAM AUR MUSIBAT SE CHHUTKARA:
juma k din b,ad e asr wahi baithay rahay aur ankhay band karkay apni hajat ka taswoorrakh kar bila tadaad YA ALLAHU YA RAHMANU YA RAHEEM parhtay rahay aur azan e magreeb k waqt dua karay,chand jumua aisa karnay se kaisy bhi musiibat ho door ho jaegi.ye sarkar nizamuddeen auliya ka atta karda wazeefa hain.

9.LARHKIYO K RISHTAY K LIYE:
khud larhki ya uski waliday ya ghar ka koi fard alhamdu sharif es tarha parhay ki jab
Iyyaka Na'budu wa iyyaka nasta'een par phochay to eska 11 martba takrar karay yani dohraye aur phir puri surah khatm karay.aur ye pani bismillah parh kar larhki pelay.40din ka aml hain,bandish bhi khul jati hain,aurat makhsoos dino ko tark karkay parhay.waqt w jagah muqrrar karay.behtar hain ki fajr me sunnat k b,ad parhay.

10.JINN BALAA SE HIFAZAT:
su.bakra ki tilawat karnay se ghar ya karobar me aur parhnay walon pe jin ya jadoo ka khatra nahi rahta.

11.DUNYAVI HAJAT:
su.Rahman parh kar dua kiya karay inshallah wo hajat bar aayegi chahay khud ka makan hi kyu na manga jaen.

12.MUQDMA:
su.fat'h 40 martba parh kar court jaen faisla aapkay haq me hoga.agar shadeed zokhim ho to 100 bar parh kar dua maangay.inshallah na-insafi na hogi.

13.GURBAT BEIZZATI KO KHATM KARAY:
11-11 durood e pak k sath 300 martba lailaha illa huwal hayyul qayyum ba,d e isha parha karay.90 din ka amal hain.

14.TABADLA KI MANSUKHI K LIYE:
tabadla rukwanay k liye 19 martba surah e tabbatyada parh kar dua karay.

15.NEK W SA,ADATMAND AULAD K LIYE :
jab hamal thahar jaen to sub,ah sham 100 martba YA QUDDOOSU parh kar pet par dam kiya karay.aulad nek aur dunya me izzat hasil karaegi.

16.MUHABBAT:
agar aurat se shohar muhbat na karta ho ya bud akhlaq ho ya shohar ki biwi aisi ho to rat ko sonay se pahlay 1100 martba YA MOMEENU parh kar ankhay band karkay ye taswoor karay ki main aur mera shohar ars k saaye me hun aur shohar ka taswoor karkay so jaen.inshallah shohar muhbat se pesh aayega.

17:MULAZIMAT:
agar mulazimat na ho ya nikal diya ho aur wo wapis paana chahta ho to aadhi raat ko uth kar wuzu karkay asman k nichay kharay ho kar 300 martba YA AZEEZU parh kar dua kiya karay inshallah baot jald wapis mulazimat lag jaegi

18.WASAEL ME EZAFA:
fajr ki namaz ada karnay k b,ad aisy jagah baithay jahan se aftab nikalta hua nazar aaen jaisay hi surah ki tikiya namoodar ho YA BASEETU parhna shuru karday aur hateliyon par dam karkay chehray par pher le lay.
40din ka amal hain.aurat makhsoos din me bhi jari rakhay.
19.GHAR WALAY AAPAS ME MUHABBAT KARAY.
786 martba bismillah hir rahman nir raheem par kar pani pe dam karkay sabhi ghar walay piye ya kisi tarkeeb se pilaye aur ghar k konon me halka chhirhk de.toilet etc jagah pe na chhirhkay.

Dec 10, 2013

MAAH E SAFAR >AAKHRI BUDH:





ye do amal maah e safar k aakhri budh k hain.
AMAL :
HIFAZAT accident,hathiyar, chot k liye es naqsh ko zafran w arq gulab se likhay aur apnay bazu par momjama karkay pahnlay inshallah aap accident w digar aisay haadsat chot se mahfooz rahaegay.es daur me qadam qadam khatra hain aap apnay liye aur apnay family k liye zaroor tayyar karlay.
naqsh agar koi nek aur paband baa imaan musalmaan se likhwaye to behter hain.

AMAL:2,
puranay sar dard k liye:
agar kisi ko barson ka purana sar dard ho aur wo koi dawa elaj se thik na hota ho to maah safar k aakhri budh ko tuloo aftab k waqt kagaz pe ek bar CHAHAL KAAF [ image2] ko likhlay aur galay me pahanlay inshallah kitna hi purana sar dard kyu na ho dard kafoor ho jaega aur ye mera kai bar ka aazmuda amal hain.

Dec 3, 2013

KHWATEEN K LIYE>SASURAAL ME IZZAT HASIL KARNA

Es amal se wo tamaam auratay jo apanay sasuraal me zillat uthati hain.taanay sunti hain aur hikaarat ki nigah se dekha jata ho usay aur jiska shohar bhi Qadr ba karta ho uskay liye ye amal ek neamat hain.
sabse pahlay to aurat ko chahiye ki wo apnay sasuraal walon ki aur khas kar shohar ki khidmat me kotahi na karay aur apni saas ya digar members se zubandarazi na karay.sabr har maslay ka hal hain.aur azr bhi beshumar hain.
sabr pe amal kartay kartay agar meri bahnay ye amal karaegi to inshallah sasuraal me aapki izzat w qadr har zuban se jary rahaegi aur ye ek sachi izzat w qadr nasib hogi.har koi aapse muhbbat w adab se pesh aaega.
amal ek dam sida saada hain.
pak saaf ho kar bawuzu qibla rukh kisi ek waqt pe rozana 1000 martba 3-3 durood e pak k sath ism e elahi
يا مُعزُّ
YA MU'IZZU
ko parhana hain.parhtay waqt samnay ek glass pani ka rakhlay aur jab parh chukay to uspay dam karlay aur wo pani khud pi jaen.bas 40 din amal karna hain.aur waqt jo fursat ka jo bhi ho wo mukrrar karlay.koi parhez nahi.makhsoos dinon me tark karday aur taharat hasil hotay phir jitnay din baaki hain wo pura karlay.