May 7, 2014

KHAUF SE NIJAAT

KHAUF SE NIJAAT:
Agar aapko koi anchaha khaur sataa raha hain aur kisi bhi dawa se thik nahi ho raha hain aur har waqt haavi rahta hain to ussay nijaat hasil karnay k liye main rohani amal likhta hun,insha Allah zaroor faeda hoga aur dar khauf dur ho jaega.
 
ﯾﺎ ﻣﻘﯿﺖ
Ya muqeetu
ism elahi hain aur uska maana hain taqt denay wala.aur aadad hain 550.
jab kisi baat ka dar ya khaur dil me baith gaya ho to gulab ya kisi bhi khushbudar phool le aur uspay ye ism e elahi ko 100 bar parh kar dam karay,11-11 durood e pak k sath aur esay sunghtay rahay.jab sukh jaen to kisi mahfooz jagah esay dal de taki be adbi na ho.es rohani amal se insha Allah dhiray dhiray aapkay dil ka ye sataata huva dar ya khauf dur hota jaega.
mukammal shifa tak amal jari rakhna hain.