May 7, 2014

RIZQ ME BARKAT

RIZQ ME BARKAT KA DUSRA AMAL:
es daur me kai aisay hazraat hain jo din raat mahnat kartay hain apnay biwi bachon khandan k liye din raat ek karkay uskay liye aasaniya paida karnay ki koshish me lagay rahatay hain.sach ye ek jehaad hi hain.es daur me halaal rozi kamaana aur ussay apnay ahl o ayaal ka pet bharna bahot barhi baat hain aur aisay ashkhaas kabil e daad hain.aksar aisay hazraat din raat mahnat kartay hain par phir bhi kami rah jati hain.ye amal aisay hazraat k liye hain jo mahnat kartay hain.kyu k aaj kaal dast e ghaib ka talabgaar chaaron aor nazar aarahay hain par mahnat walay nahi.ye amal us mahnat kash mard momin k liye hain.jo uski kami pur karaega.kyu k wo mahnat to kartay hain par rohani amaliat se faeda nahi uthatay.sab se zaroori to ye hain ki duniya ki mahnat me aakhirat khali na rahay.esliye namaz salat ki bhi pabandi rakhay taki dono jahan me kamyabi hasil ho.
ab amal likh raha hun...
namaz e fajr se ekad ghanta pahlay kharay ho jaen aur zarooriyat se farig ho kar khulay sar aasman k nichay aisay kharay ho ki sar par koi chhat ya dusra saaya na ho.3-3 baar durood e pak k sath 
300 martba ye aayat e karima parhay....
وَفِي السَّمَاء رِزْقُكُمْ وَمَا تُوعَدُونَ 
Wafee alssamai rizqukum wama tooAadoona

 Az-Zariyat>22.
sirf 13 din karkay dekhay agar fark mahsoos ho raha hain to 3 chillay karlay aur phir rozana b,ad e fajr sirf 25 martba wird me rakhay.
inshallah es rohani amal se aapko gaibi imdad[roohani madad-spiritual support] milaega aur aap khud hairan rah jaengay ki kahan se aur kaisay kaisay aapko barkatay hasil ho rahi hain.