Aug 29, 2014

GHAR MAKAAN W RIZQ KI BANDISH DUR KARNAY K LIYE

Es zamaanay me haasid on ki hasad aam hain aur apnay hi bhai ki khushi ya bahan ki khushi ya dosht ahbaab ki khushi apnon se nahi dekhi jati.aur maamuli baaton me log bandish karwa detay hain.aur hasad ki badlay ki ye aag insaan ko andha kar rahi hain aur khauf e khuda se gaafil kar rahi hain.mainay kai bandish karnay walay aur karwanay walaay k ibratnaak anjaam  dekhay hain.Allah se dua hain ki aisay ashkhaas se jo bandish kartay hain ya karwatay hain apnay habib e kareem sallallahu alayhi w sallam k tufayl aur aapkay khadim Amil Samar Ali k murshid e paak k sadqay aap sabhi ko jo bandish k shikar hain usko es balaaon se mahfooz farmaen.aameen.
bandish ka tor karna aasan nahi kyu k bandish kai tarha se lagayi jati hain.lekin Qalaam e elahi k aagay sab kuch haich hain aur duniya ki koi rohani taqt Qalaam e elahi ki taqt ka samna karnay ki quwaat nahi rakhti.
Aaj main Allah taala k Qalaam se ek choti si aayat e mubarika jo surah e A'la ki 14v aayat hain uska ek asardar naqsh pesh kar raha hun.jissay kisi bhi tarha ki bandish jo ghar par ho dukaan pe ho ya rozgaar pe ho dur ho jaegi.
قَدْ أَفْلَحَ مَن تَزَكَّى 
Qad aflaha man tazakka
su.Al A'la 87:14
yahab image me jo naqsh diya hai usay aap naya chand nazar aanay se lekar 15 chand k andar jo bhi jumeraat aaen usmay kisi bhi jumerat ko tuloo aftab(SunRise) k ek ghantay k andar barhay huroof se Sabz siahi (green color) se sufaid kagaz pe likhlay ya kisi jannay walay se likhwa lay.aisay do naqsh likhna hain.ek aapko frame karwakay ya leminate karwa k dukaan hain to dukaan me aisay makaam par rakhay ki aanay walay ki nazar uspay parhay.dusra naqsh aap gallay me ya kisi rupay rakhnay ki jagah me rakhday.
ghar me bhi aisay hi karay ki ek naqsh frame karwa kar rakhay aur ek naqsh rupay rakhnay ki jagah pe rakhday.
aur sath me upar likhi aayat jiska ye naqsh hain usay subah w sham 100-100 martba 11-11 durood e pak k sath wird kiya karay.essay ye faeda hoga ki ghar pe ya dukan pe ya rozgaar pe bandish hain wo dur ho jaegi aur wird se aap par ya ghar par ya rozgar par dubara bandish nahi lagaegi,aap mahfooz rahaengay.
***dukaan k elawa kisi ko khud ki rozgar ki bandish ka shuba ho wo ek naqsh apnay pas rakhay.naqsh ko har jumerat khushbodar agarbatti ka bakhoor ya itr lagaya karay.aur kapday se frame ko saaf kiya karay.

Aug 16, 2014

ZULM SE NIJAAT

Agar kisi pe koi zulm kar raha hain aur wo ussay nijaat chahta hain.chahay zulm karnay wala koi gunda mawaali hain koi afsar hain haakim hain ya koi bhi jo na haqq parayshan karta ho to ussay nijat hasil karnay ki garz se ye amal karna chahiye...
TARKEEB:
ye hain ki rat ko karib 12 bje ghar k kisi tareeq konay me bilkul andhera kar qibla rukh khullay sar baith jaen aur es zulm se nijat ki niyyat se es aayat e mubarika ko 2100 martba 11-11 martba durood e pak k sath parhay.aur dua karay.7 rat ka amal hain.insha Allah 7 din me hi uski islaah ho jaegi ya phir wo khud hi kisi mas'alay me ulaj jaega aur aapko nijaat milaegi.zarooratan 14 ya 21 din bhi amal kiya jaen.wo aayat e mubarika ye hain....
وَهُوَ الْقَاهِرُ فَوْقَ عِبَادِهِ وَهُوَ الْحَكِيمُ الْخَبِيرُ 

Wahuwa alqahiru fawqa Aibadihi wahuwa alhakeemu alkhabeeru

su.an'am>18
*koi parhez nahi.amal bawuzu aur waqt muqrrar parh parha karay.