Sep 29, 2014

IDD UL AZHA : ****HAR TARHA K DARD KO JHADNAY KI CHHURI:****



Es k liye aapko lohay ki chhuri banana hogi jiska handle bhi lohay ka ho yani puri lohay ki hi ho.
Aur dhar bhi nikali jaen.ab jab iddul azha ka din aaen to namaz e edd k bad kisi bhi waqt yani Guroob aaftab se pahlay tak ka waqt hain

Es amal k liiye chhuri, gulab jal ya arq gulab chahiye aur bairy k darakht ki lakdi k koelay.
Tareeqa ye hain ki upar likhay waqt pe en do aayaton ko ek sath ek hi nashist me 365
Martba parhay aur parh kar ek bartan me pahlay se rakha huva Gulab jal ya arq k piyalay me dam karay aur chhuri ko bhi koelay ki aag pe achhay se garm karay jab kaafi garm ho jaen to es chhuri ko us pyalay me dubo kar buza de.bas ab ye chhuri har tarha k dard ko jhadnay k liye tayyar hain.
Aayaat ye hain….

وَنُنَزِّلُ مِنَ الْقُرْآنِ مَا هُوَ شِفَاء وَرَحْمَةٌ لِّلْمُؤْمِنِينَ وَلاَ يَزِيدُ الظَّالِمِينَ إَلاَّ خَسَارًا
Surah >al-isra 82

 وَإِذَا مَرِضْتُ فَهُوَ يَشْفِينِ
Surah Ash-shuara 80 
Parhna sath me yun hain…..
وَنُنَزِّلُ مِنَ الْقُرْآنِ مَا هُوَ شِفَاء وَرَحْمَةٌ لِّلْمُؤْمِنِينَ وَلاَ يَزِيدُ الظَّالِمِينَ إَلاَّ خَسَارًا
 وَإِذَا مَرِضْتُ فَهُوَ يَشْفِينِ
 Wanunazzilu mina alqurani ma huwa shifaon warahmatun lilmumineena wala yazeedu alzzalimeena illa khasaran, Waiza maridtu fahuwa yashfeeni.

JHADNAY KA TAREEQA;
Mariz ko jis makam pe dard ho wahan chhuri ko lagaye aur aap es aayaat e mubarika ko 9 martba parhay aur phir chhuri ko zameen se lagaye.phir chhuri makaam e dard pe rakhay aur phir aayat parhay aur phir chhuri ko zameen se touch karay.kul aisa 9 martba karay.insha Allah mariz ka dard gayib ho jaega aur mariz ko aaram aajaega.

Es chhuri se aap ek saal tak jhad phoonk kar saktay hain.yani agli idd ul azha tak.
Agli idd ul azha ko dubara aisay hi amal ko dohrana hain.lekin chhuri nayi lenay ki zaroorat nahi wo hi chhuri pe dobara amal kar saktay hain.
Aur chhuri ki size ki qaid to naahi aam tor pe kam se kam 6” ki ho essay kam na ho.