Oct 27, 2014

AASHURA KI RAAT KA AMAL:



Ye amal jo bhi karaega jis nek maqsad se karaega insha Allah wo maqsad ya hajat ek saal k andar andar puri hoti hain.jaisay koi berozgar hain ya koi taraqqi ka khawaeshmand hain ya koi khud ka makaan chahta hain to koi qarz se nijat chahta hain,koi aurat aulad e narina yani beta chahti hain to koi parayshan maa apnay betay se mulakat chahti hain to kisi ki shadi ka mas’ala hain.garz har aisay mas’alay jiska hal mahnat w koshish k bawzod na hal ho raha ho to buzorgan e deen ka ata karda aur aapkay khadim SamarAli k  murshid ka bhi bataaya huva aur mera khud ka meray doston ka aazmaya huva ye amal likh raha hun.aur insha Allah ahlay bayt k faizan se aur meray murshid Aulad e Gaus e aazam k sadqay se aapki hajaat zaroor puri hogi.



TAREEQA:

Ek dam sahal hain.bas aashura ki raat yani 9vi muharram ka din guzar kar jo raat aaen us raat ko bad e isha gusl karay aur apak saaf kapday pahanay aur bawuzu ho kar Allah k paak kalaam yani quraan e karim ko lay kar pak saaf jagah pe ya masjid me baithay.

Pahlay to do rakaat salatul hajat parhay.aur har rakat me surah e fateha k bad 3 martba surah e ikhlas parhi jaen.aur maqsad ki dua mang kar.

Kalaam e elahi ko bismillah kah kar kholay aur surah fateha k upar jo bhismillah sharif likhi hain wahin se shuru karay.bismillah ki Be pe kalmay ki ungli[index finger] rakhay aur bismillah parhtay huvay ungli ko us satar[Line] pe phertay huvay bismilah ki aakhri meem pe lay jaen ab yun karna hain ki alahamdu sharif ki pahli alif pe kalmay ki ungli rakhtay huvay bismillah parhtay huvay ungli us satar[Line] k aakhri harf pe lay jaen.esi tarha uskay bad ki satar pe pahlay harf pe unli rakhtay huvay ungli phertay aakhri har pe lay  jaen aur har satar pe ungli phertay huvay
 bismillah hir rahmanir raheem parhtay jaen.

Ek dam aasan hain aur har satar pe ungli phertay jana hain aur bismillah hir rahmanir raheem parhtay jana hain.aisay kalaam e pak k har saffay pe karay yahan tak ki pura qalam yaani surah e naas ki aakhri Seen pe khatm ho.

Apnay shuru bismillah sharif k Be se kiya tha aur khatm Seen pe hoga.

Yani Be aur seen

 ب س

Yani بس

Bas.

Bas aapki hajat bhi Allah k darbar me pahoch jaegi aur B,faizan e Bismillah qubool bhi ho jaegi.

Mumkin hain aapki hajat fauran puri ho jaen ya kuch din me ya kuch hafton me ya kuch mahino me lakin Allah ne chaha to zaroor zaroor puri hogi.bas,uski rahmat se mayoos na ho aur dua k hathyar se apni musibaton se jung karon.

*es tarkeeb me karib 2-3 ghantay lagtay hain.
aur ek nashist[one sitting]me parhay to behtar hain warna do teen waqfay se bhi parh saktay hain.jaisy jiski quwwat.



Agar en ghamon se bharay huvay dino me kisi ko ye khadim b,waqt e dua yaad aajaen to zaroor shamil e dua karlijyega.