Oct 20, 2014

EK MUHARRAM SHARIF KA AMAL:HIFAZAT az AAFAT W MASAAEB

Ahlay bayt e athaar ki yaad manaanay ka aur unhi k gham me dub kar apnay liye nijaatnaama hasil karnay ka sunahra mauka yani maah e muharram sharif es maah ka ek ek din aashiq e ahlaybayt k liye aur jo rohani aloom k khwaeshmand hain unkay liye kimmati hain.meray murshid farmatay hain jisnay muharram k 10 din ki qadr karli usnay saal bhar ki kaamaayi karli.
yahan main saal bhar k liye aafaat baliyat w masaaeb se hifazat hasil krnay k liye tareeqa likh raha hun.esay apnay liye tayyar karon apnay biwi bacho k liye tayyar karo aur ahbaab ko bhi bataaon taki wo bhi faeda hasil karay.
muharram ki pahli chand ko aapko 113 martba 
bismillah hir rahaman nir raheem ko sufaid kagaz pe likhna hian.behtar hain ki zafran w arqgulab ki siahi se likhay.zafran na milay to khanay ka jo zard rang hain unsay likhay ya phir jo bhi mayassar aaen unsay likhlay.aur likhtay waqt chand agarbattiya bhi jalaye aur likhnay se pahlay agar do rakaat namaz nifl parh kar ahlay bayt ko nazr karday to bahot hi aala hain aur amal ko tayyar karnay k bad kuch shirni pe bhi fateha de kar ahlay bayt ko nazr karay aur bachon ko baant de.
aur jis kagaz pe bismillah sharif likhi hain usay haray reshmi kapday me lapayt kar achhay se pack karkay galay me pahlay.
bismillah sharif bagair airab likhni hain yani zair zabbar pesh laganay ki zarorat nahi.
بسم اللہ الرحمن الرحیم

*muharram ka ek aur amal meray esi blog me hain usay bhi dekhlay......
http://rohaniamliat.blogspot.in/search/label/maah%20e%20muharram%20k%20amaliyat