Dec 18, 2015

MAAH E NOOR MUBARAK>#AAON_KHUDGARZI_K_ES_JAHAN_ME_ KHUDGARZ_BANAY…!



#AAON_KHUDGARZI_K_ES_JAHAN_ME_ KHUDGARZ_BANAY…!



Ye daur matlab parast hain.log har kam k pichay apnay matlab ko faeday ko dekhtay hain.khudgarz ho gaye hain.to main bhi EK MAMLAY ME khud garz bannay ki aapko dawat deta hun.duniya k liye to bahot khudgarzi karli ab aakhirat k liye khudgarzi karo…!

Kya aap nahi chahtay hain ki aapkay pas bhi aakhirat ki daulat bhi sab se ziada ho..? mahalat ho hurray ho..!bagichay ho..? kyu k jannatiyon me bhi rab ne darjat rakhay hain.jaisay duniya me darjat hain koi amir to koi ameer kabeer hain.

Main to ye hi chahta hun ki aap sab deen ki es daulat ko jitna ho sakay utna lootlay.

Kunji jo es khazanay ki hain wo bata raha hun.jo mujay meray murshid se ata hui hain.mainay to aap sab ko bhai aur bahan maana hain.mujay kaisay gawara ho ki main akela ye khazana hasil karlun…! To meray pyaray bhai aur bahanay aaj se hi ye khazana hasil karnay me lag jaen…!

Wo kya hain esay parhay insha allah samj aajaega…!



Log ziadatar aisay aamal pasand kartay hain jismay paichidgiya ho.jaisay fulan parinday ki aankh laon pankh laon khoon milaon,jungle me baitho,kuway me latko…ek tang pe khaday ho kar parho…ye karo wo karo aur main khud aisay aamal likhta rahta hun.aur aisay aamal k liye mujay sab se ziada coments ya mails msg aatay hain.lekin aisay aamal me kamyabi hasil karna aasan bhi nahi hota.aur main to ye hi koshish karta hun ki kam sharaet aur aasan aamal hi pesh kiya karu taaki logon ko faeda ho.aisay aamal jo paichida hotay hain parhnay[reading] me luft aata hain lekin tayyar karaengay ya aazmaengay to utna hi mushkil lagaega jitana luft aata hain.to kyu na ham aisay aamal ka sahara lay jo….

Yani wo aamal jismay Kisi parhez ya waqt saat nazraat ki,aisa karna waisa karnay ki qaid nahi aur faeda yaqini hain.insha allah es silsilay ka aagaaz ham durood e pak se karaengay.hamara course me sab se pahlay rohaniyat k sabaq me yehi targeeb dilayi jati hain ki durood e pak ka wird rozana tor pe kiya jaen.ye amal aisa hain ki agar pabandi eski ho gayi to Kisi amal ki zaroorat hi nahi.murshid ne ek martba farmaya tha ki afzalul zikr "La ilaha illallah" hain aur Durood “taaj ul wazaeef” hain.durood sharif deeni dunyavi jismani rohani tamam masaeel ka hal hain.

Afsos ye hain ki sab se ziada kotahi ham durood e pak me hi kar rahay hain.durood me kya faiz hain main tajorba kar chuka hun aur kar raha hun.es duar me musibat aur masael me jo insan fans jata hain uski sab se barhi wajah gunah hain aur gunah se bachna itna mushkil ho raha hain ki Allah ki panah…!aur aaj kal to gunah ko gunah hi nahi samja ja raha hain.nek aur achi baaton ko molviyon ki duty samj kar mazak uda detay hain.gunahgaar pe rahmat kaisay hogi?aur kaisay dua kubool hogi..?esi liye hamay targeeb dilayi gayi hain ki dua se qabl aur aakhir me durood parha jaen.kyu k ye kubooliyat ka sabb bantay hain.
*Huzur Nabi e do jahan nay farmaya ki muj par dum kata durood na parho..to ashab nay farmaya ya Rasool allah dum kata durood kiya hain? aapnay farmaya muj par durood parho aur meri aal par na parho!(yani durood may wa aalehi hi shamil ho.)

*hazrat Ali sher e khuda farmatay hain ki ‘jab tak nabi e pak sallallahu alayhi w sallam par durood na parha jaega tamam duaon zamin asman k darmiyan latakti rahti hain.’

[tibrani]



*hazrat Abu bakr siddiq radiallahu anho farmatay hain ki’huzur nabi e pak pe durood parhna gunaho ko mitadeta hain.huzur sallallahu alayhi w sallam par durood e pak parhna Gulam ko aazad karnay se bhi behtar hain.aur nabi e kareem sallallahu alayhi w aalehi w sallam se muhabbat Allah ki rah me zihad karnay se bhi behtar hain.’

[durr e mansoor]

Esi tahra hazrat sarkar umar farooq e aazam radiallahu anho farmatay hain ki wo dua asman pe nahi jati jismay huzur sallallahu alayhi w aalehi w  sallam pe durood na parha gaya ho aur hazrat Usman Ghani radiallahu anhu farmatay hain ki main quran yad nahi kar pa raha tha to huzur ne durood yad karwa diya jisay parhnay se mujay quran yad ho gaya..

Esi tarha Hazrat Imam Hasan radiallahu anhu farmatay hain ki Huzur sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne farmaya muj par kasrat se durood e pak parho kyu k muj pe durood parhna tumharay liye gunaho ki bakhshis ka sabb hain.[ibn asakir]

Aur Hazrat Imam e Husain farmatay hain ki Huzur sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne farmaya ki tum kahin bhi ho muj pe durood e pak parhtay raho,beshaq tumhara durood mujtak pahochta rahta hain.

Aur Hazrat Abdullah bin jawaad radiallahu anho farmatay hain ki Huzur sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne farmaya ki tum par jo jo bhi faraez hain usay mukammal ada karnay ki koshish kartay raho kyu k wo Allah ki rah me 20 martba zihad karnay se bhi afzal hain.aur muj par durood parhna unsab se behtar hain…!



Ab durood ka amal likh dun unsay pahlay ye bhi likh du ki kuch maukay pe durood[adban] nahi parhna chahiye…

Paisab-pakhana k waqt,

Badboo wali jahag nikaltay waqt,

Thokar lagay tab,

Hambistari k waqt,

Kisi janwar ko zubah kartay waqt,

Ya koi chiz kat rahay ho tab,

Hairat k waqt.

En awqat aur mauko pe durood adban nahi parhna chahiye.

Kuch waeed bhi hain wo bhi parhlijye…

1.Nabi e pak sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne farmaya wo shakhs barbad ho jiskay samnay mera zikr ho aur muj par durood na parhay.[tirmizi]



2.jo mujpar durood parhna bhul gaya wo jannat ka rasta bhul gaya..[ibn maja]



3. jo mera nam sunay aur muj par durood na parhay wo sab se barha bakhil hain.[tirmizi]



4.jis mahfil me log jama ho aur muj par durood parhay bagair barkhast ho wo aisa hain jaisay badbudar murday par se uthay,matlab usmay koi khair o barkat nahi hoga.[tirmizi]



Esi tahra durood shab e jumua, jumua aur peer ka din khas hain us din durood ki kasrat khas ki jaen.kyu k huzur sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne famraya hain ki muj par roshan rat[jumme ki rat] roshan din [jumua] kasrat se durood parho kyu k us din muj pe aapka durood pesh kiya jata hain.aur main tumharay liye dua aur istagfar karta hun.

Aur peer k din bandon k aamal Rabbul aalmin ki bargah me pesh hotay hain.



Durood k baray me hazrat Imaam Raazi radiallahu anhu kya farmatay hain ye bhi parh lijye…

Istagfar aur durood dono me se duroof ko behtar jaano.durood parhtay rahay aur istagfar ko huzur sallallahu alayhi w sallam pe chhor dijye yani unki bargah me rujoo kar dijye.

Allah khud huzur sallallahu alayhi w aalehi w sallam pe durood e pak parhtay hain.aur durood manzor na ho aisa mumkin nahi.

Istagfar ek dua hain aur dua kubool hi ho ye mumkin nahi.kubool ho bhi, nahi bhi ho esliye kubooliyat me shaq paida hota hain.esliye istagfar pe bharosa kiya ja sakta nahi.jab ki durood k kubool honay me koi shaq nahi hain.

Esliye behtar hain ki kamyab aur tasalli bakhsh rah ye hi hain ki kasrat se durood sarkar e do jahan pe bhejtay rahay aur huzur hamari bakhshis k liye dua kartay rahaengay.Nabi e Mukhtar ki duaon aur rahmat aur safa'at k Sabb hamari bakhshish hogi.es tarha hamara bakhshish ka samaan tayyar hota jaega.

Ab Quran ki wo aayat jismay hamay durood ka hukm diya gaya hain likh kar amal durood likhta hun…

إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا

Inna Allaha wa malaikatahu yusalloona Aala alnnabiyyi ya ayyuha allazeena amanoo salloo Aalayhi wasallimoo tasleema .

Su.ahzab ayat 56.

Es aayat me mominin ko hukm durood diya gaya hain.



Ab yahan jo amal hain wo ‘Durood e Taiyyib’ ka hain.

Es durood me kai israar chhupay huvay hain.

Jo insan gunaho me faans gaya ho,nafs ne jakad liya ho,aur chaaro taraf se nakaamiya ne gher rakha ho.udasi chha gayi ho.aur nafs ye kahta ho ki puri zindgi gunaho me guzar gayi ab kya khak musalmaan banaengay?dil kahta ho ki ab teray gunah ki muafi nahi chal saja pa nay ko tayyar ho ja.

Aur Kisi chiz se faeda na ho raha ho.koi Aamil ya Aalim se na dua se na taweez se Kisi bhi tarha faeda na ho raha ho to es durood e pak ka wird shuru karday.insha Allah aapki batin ki safayi bhi ho jaegi aur masael ka hal bhi milta jaega.

Durood ko Kisi bhi din tareekh me parhna shuru karay rozana 313 martba madina rukh ho kar parha karay.

Jumua k din es durood ko parhnay se bahot faeda hasil hota hain.

*15vi shaban ko agar puri raat wird kiya jaega to bahot se rohani in’aamat hasil hotay hain.

Durood e tayyib ye hain…

صلی اللہ علیہ والہ یا شفیع المذنبین سیدنا مولانا احمد مجتبی محمد مصطفے و علی الہ واصحابہ وازواجہ و احبابہ و ذریتہ واہل بیتہ و اہل طاعتک اجمعین0

Sallallahu alayka Ya Shafial Muznabeen sayyidna w maulana Ahmad e mujtaba Muhammad mustafa w ala aalehi w as’habehi w azwajehi w ahbabehi w zurriyatehi w ahle baitehi w ahle taaetik ajmaeen.



#Koi parhez nahi na koi waqt ki pabandi hain na Kisi din mahinay urooj zawal ki qaind hain.ek martba kam se kam 40 din aazma kar dekhlay.



Khud ki bhalayi k liye khudgarz ban jaen aur Apnay liye waqt nikal kar wird kartay rahay.ye aisa amal hain ki dono jahan me aapko nafa dega.







Nov 29, 2015

YASEEN SHARIF K AMALIYAT PART 3

Mera dil nahi karta tha ki es silsilay ka 3ra part likha jaen kyu k chor bhi taaq me baithay hain.meray amal ya naqsh ki chori karay mujay koi harz nahi hain lekin wo log thoda sa amal likh kar nichay likhtay hain ki pura amal aur ijazat k liye contact karay aur phir shuru hoti hain loot…!
Khair ek bhai k kai mails aur msg esi part ko lay kar barbar aaen aur us bhai ki baat ko dil se qubool kar main ye part likh raha hun….!

Essay pahlay part 1 aur 2 me surah aayat dar aayat k fawaed likh chuka hun jo aayat 60 tak thay ab essay aagay ki aayaaton k amaliyat w fawaed likh raha hun…!

Meri koshish to ye hain es blog se ki aap khud hi apnay mas’alay hal karay taaki aapko Kisi k pas janay ki zaroorat na rahay.
Amilin ko khuda amilin paida nahi karta.wo apni mahnat se bantay hain.aapko kaha zarorat hain ki aap amil kamil banay Kisi aayat k sahih amil banjaen ek hi aayat aapkay tamam mas’alay hal karnay k liye kaafi hain.bas meray murshid farmatay hain ki takraar takraar takraar ye hi raaz hain amaliyat me.
Wo kabhi manzil nahi pa saktay jo kabhi ye to kabhi wo parhtay rahay.hamaray Aaqa ki talim bhi ye hi hain ki Allah taala ko wo hi wird ya wazifa ziada pasand hain jo daemi taur pe apnaya jaen.
Sab se aala har dard ki dawa hain sallay ala muhammad….!
Khud k khazanon ki qadr nahi hain aaj hamay aur muflis ban kar maray maray firtay hain…!

#61 وَأَنْ اعْبُدُونِي هَذَا صِرَاطٌ مُّسْتَقِيمٌ
Waani oAbudoonee haza siratun mustaqeem.

Es aayat ko hamesha parhtay rahnay se badan pe baal nahi barhtay,yani hajamat bar bar nahi karni parhti.

#62 وَلَقَدْ أَضَلَّ مِنكُمْ جِبِلًّا كَثِيرًا أَفَلَمْ تَكُونُوا تَعْقِلُونَ
Walaqad adalla minkum jibillan kaseeran afalam takoonoo taAqiloon.

Es aayat ko es aayat ko hamesha wird me rakhnay se Allah tala ka karam hota hain aur Gunah muaf ho jatay hain,neki ki taufiq milti hain.

#63 هَذِهِ جَهَنَّمُ الَّتِي كُنتُمْ تُوعَدُونَ
Hazihi jahannamu allatee kuntum tooAadoon.

Maiyat k kafan pe likhi jaegi to mayyat kabr k azaab aur tareeqi se mahfooz rahaega.

#64 اصْلَوْهَا الْيَوْمَ بِمَا كُنتُمْ تَكْفُرُونَ
Islawha alyawma bima kuntum takfuroon.

Dast k mariz ko likh kar paani se dho kar shehad mila kar pilatay rahay shifa hasil hogi.

#65 الْيَوْمَ نَخْتِمُ عَلَى أَفْوَاهِهِمْ وَتُكَلِّمُنَا أَيْدِيهِمْ وَتَشْهَدُ أَرْجُلُهُمْ بِمَا كَانُوا يَكْسِبُونَ
Alyawma nakhtimu Aalaafwahihim watukallimuna aydeehim watashhadu arjuluhum bima kanoo yaksiboon.

Agar khud k Kisi raz k faas honay ka khauf  ho aur jissay zillat ka bhi khauf ho to Allah se khub tauba karay aur es aayat ko kasrat se parhtay rahay insha Allah aapkay haal ki pardaposhi hogi aur raaz faas na hoga.

#66 وَلَوْ نَشَاء لَطَمَسْنَا عَلَى أَعْيُنِهِمْ فَاسْتَبَقُوا الصِّرَاطَ فَأَنَّى يُبْصِرُونَ
Walaw nashao latamasna AalaaAyunihim faistabaqoo alssirata faanna yubsiroon.

Sakht dard kahin bhi ho likh kar bandhay to dur ho lekin pair ya aisay makam pe dard ho jahan par bandhnay se be adabi  to aayt ko 100 martba parh kar ruyee[cotton] pe dam karkay bandha jaen, likh kar na bandhay.

#67 وَلَوْ نَشَاء لَمَسَخْنَاهُمْ عَلَى مَكَانَتِهِمْ فَمَا اسْتَطَاعُوا مُضِيًّا وَلَا يَرْجِعُونَ
Walaw nashao lamasakhnahum Aala makanatihim famaistataAoo mudiyyan walayarjiAoon.

Buray khayat ko roknay k liye esay parhtay rahna chahiye…!

#68 وَمَنْ نُعَمِّرْهُ نُنَكِّسْهُ فِي الْخَلْقِ أَفَلَا يَعْقِلُونَ
Waman nuAammirhu nunakkishu fee alkhalqi afala yaAqiloon.

Garibi aur mohtaji ko khatm karnay k liye rozana bad e fajr be ginti wird karkay dua kiya karay.

#69 وَمَا عَلَّمْنَاهُ الشِّعْرَ وَمَا يَنبَغِي لَهُ إِنْ هُوَ إِلَّا ذِكْرٌ وَقُرْآنٌ مُّبِينٌ
Wama Aallamnahu alshshiAra wama yanbaghee lahu in huwa illazikrun waquranun mubeen.

Aankhon me dard ho to 7 martba parh kar dono hatho ki pahli ungli pe dam kar kay dono ankhon pe pherliya karay dard khatm ho jaega.

#70 لِيُنذِرَ مَن كَانَ حَيًّا وَيَحِقَّ الْقَوْلُ عَلَى الْكَافِرِينَ
Liyunzira man kana hayyan wayahiqqa alqawlu Aalaalkafireen.

Pathry k liye zafran w mushq se likh kar 7 din ya 21 din dho kar piya karay pathry dur ho jaegi.agar zafran mushq na ho to haldi ko pees kar gulabzal mila kar chhan kar us siahi se likh kar piya karay.


#71 أَوَلَمْ يَرَوْا أَنَّا خَلَقْنَا لَهُمْ مِمَّا عَمِلَتْ أَيْدِينَا أَنْعَامًا فَهُمْ لَهَا مَالِكُونَ
Awalam yaraw anna khalaqnalahum mimma Aamilat aydeenaanAaman fahum laha malikoon.

Marz e istisqa[jalandhar] k mariz din me teen martba es aayat ko likh kar dho kar pilaya karay shifa hogi.

#72 وَذَلَّلْنَاهَا لَهُمْ فَمِنْهَا رَكُوبُهُمْ وَمِنْهَا يَأْكُلُونَ
Wazallalnaha lahum faminharakoobuhum waminha yakuloon.

Kisi aurat ko dudh kam aata ho aur bacha sairab na ho pata ho to es aayat ko kagaz pe likh kar achay se pack karkay galay me us aurat ko pahnaya jaen to kaafi mikdar me dudh aaega aur bacha sairab hoga.esi tarha paltu janwar ko dudh kam hota ho to galay me pahna saktay hain.

#73 وَلَهُمْ فِيهَا مَنَافِعُ وَمَشَارِبُ أَفَلَا يَشْكُرُونَ
Walahum feeha manafiAu wamasharibu afala yashkuroon.

Jo bacha bahot rota ho usay likh kar galay me pahnaye.


#74 وَاتَّخَذُوا مِن دُونِ اللَّهِ آلِهَةً لَعَلَّهُمْ يُنصَرُونَ
Waittakhazoo min dooni Allahialihatan laAallahum yunsaroon.

Paaltu janwaron k jhund me agar Kisi waba k faylanay ka imkan ho to es aayat ko likh kar pani se dho kar gulab jal mila kar tamaam janwaron ko chhirka jaen aur ek bottle me bhi dho kar bhar liya jaen aur rozana kuch katray us pani me daltay rahay jismay se tamam janwar pani pitay ho insha allah janwar waba se mahfooz rahaengay…!

#75 لَا يَسْتَطِيعُونَ نَصْرَهُمْ وَهُمْ لَهُمْ جُندٌ مُّحْضَرُونَ
La yastateeAoona nasrahum wahum lahum jundun muhdaroon.

Es aayat ko bhi kafan pe likhnay se mayyat azab e qabr se mahfooz rahta hain.
Note: kafan pe es aayat ko multani mitti ko zamzam pe bhigo kar likhi jaen aur aisay likhna hain ki sinay pe aaen.

#76 فَلَا يَحْزُنكَ قَوْلُهُمْ إِنَّا نَعْلَمُ مَا يُسِرُّونَ وَمَا يُعْلِنُونَ
Fala yahzunka qawluhum innanAlamu ma yusirroona wamayuAlinoon.

Jo shakhs betay ka talabgar ho wo hiran ki jilli pe pak roshnayi se likh kar pack karkay apni bazu pe ya galay me pahanlay.

#77 أَوَلَمْ يَرَ الْإِنسَانُ أَنَّا خَلَقْنَاهُ مِن نُّطْفَةٍ فَإِذَا هُوَ خَصِيمٌ مُّبِينٌ
Awalam yara alinsanu annakhalaqnahu min nutfatin faiza huwa khaseemun mubeen.

Boriye[kantan] k tukdon ko neela[rang] kar dhup me sukhalay aur phir es aayat ko uspay likh kar pack kakray galay me pahannay se gas ki taklif dur hoti hain.

#78 وَضَرَبَ لَنَا مَثَلًا وَنَسِيَ خَلْقَهُ قَالَ مَنْ يُحْيِي الْعِظَامَ وَهِيَ رَمِيمٌ
daraba lana masalan wanasiya khalqahu qala man yuhyee alAizama wahiya rameem.

Jo behosh ho gaya ho usay 70 martba parh kar dam karay hosh me aajaen.

#79 قُلْ يُحْيِيهَا الَّذِي أَنشَأَهَا أَوَّلَ مَرَّةٍ وَهُوَ بِكُلِّ خَلْقٍ عَلِيمٌ
Qul yuhyeeha allazee anshaaha awwala marratin wahuwa bikulli khalqin Aaleem.

Buri nazar lagi ho to es aayat ko likh kar galay me pahnaye aur 100 martb parh kar dam karay.


#80 الَّذِي جَعَلَ لَكُم مِّنَ الشَّجَرِ الْأَخْضَرِ نَارًا فَإِذَا أَنتُم مِّنْهُ تُوقِدُونَ
Allazee jaAala lakum mina alshshajari alakhdari naran faiza antum minhu tooqidoon.

Dushman parayshan karta ho to paak mitti se takhti bana kar sukhali jaen aur us par aayat mubarik likh kar nichay ye likhay ki elahi mujay meray fulan dushman se nijat ata kar.
Aur bahtay huvay saaf paani me us takhti ko dal de to dushman se nijat hasil ho.

#81 أَوَلَيْسَ الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ بِقَادِرٍ عَلَى أَنْ يَخْلُقَ مِثْلَهُم بَلَى وَهُوَ الْخَلَّاقُ الْعَلِيمُ
Awalaysa allazee khalaqa alssamawati waalarda biqadirin Aala an yakhluqa mislahum balawahuwa alkhallaqu alAaleem.

Safar me agar chhor lutairon ka khauf mahsoos hota ho to es aayat e mubarika ko ek ek martba chaaron simt parh kar phoonk de mahfooz rahaengay.

#82 إِنَّمَا أَمْرُهُ إِذَا أَرَادَ شَيْئًا أَنْ يَقُولَ لَهُ كُنْ فَيَكُونُ
Innama amruhu iza arada shayan an yaqoola lahu kun fayakoon.

Marz e athra ki mariza ko likh kar pahnaye aur rozana dho kar pilaya jaen to insha Allah uski aulad jo paida ho kar mar jati ho wo zinda bhi rahengay aur sahih saalim bhi paida hongay.

*marz e athra jis aurat k bachay paida hotay hi marzatay ho uskay liye surah muzammil sharif ka ganda banta hain.wo Kisi amil se tayyar karwa kar aurat ko qamar me bandhna chahiye aur jaisay hi bacha paida ho uskay fauran gusal de kar kaano me azaan de aur wo ganda jo uski maa k galay me tha bachay ko pahna diya jaen.insha Allah bacha zinda rahega.
 *es ganday ko kaisay tayyar kiya jata hain uska tareeqa aaenda kabhi.

#83 فَسُبْحَانَ الَّذِي بِيَدِهِ مَلَكُوتُ كُلِّ شَيْءٍ وَإِلَيْهِ تُرْجَعُونَ
Fasubhana allazee biyadihi malakootu kulli shayin wailayhi turjaAoon.

Tamaam hajat chahay rozi ki ho taraqqi ki ho shadi ki ho ya mulazmat ya khud ka makan ki ya aulad ki har ek hajat k liye es aayat mubarikha ko 350 martba rozana parha karay.

Har amal se pahlay 11—11 martba durood e pak parha karay.

Ye Yaseen sharif k aayat dar aayat mukhtasar se fawaed w amaliyat likhay hain.jo khas zakwat amaliyat w wazaef aur bamuakkal tareeqay hain wo sirf amilin k liye hotay hain esliye yahan likhna duroost nahi agar Kisi ko shauk ho to course join kar saktay hain.

Aapko ye meri mahnat se tayyar ki hui post kai copy paste choron k blog site aur page pe parhnay milaegi.Aap andaza lagaye ki ab tak jis jis page site ya blog pe choro ne copy paste se meri post khud k nam se laga rakhi hain usmay sirf 2 hi part hain.ummid hain ab ye 3ra bhi part lag jaega.

Usay kuch na kahiyega bas sirf samj jana ki ye amil nahi chor hain aur chor e log hoshiyar rahtay hain.




Nov 14, 2015

PLZ VISIT MY NEW BLOG...!

mainay apnay blog readers aur rohani course members k kuch rohani tajurbat ko post karnay k liye ek blog banaya hain aap uski visit karay aur tasoraat dijyega....!
www.rohanitajurbaat.blogspot.com



Oct 8, 2015

DAFAY E TANG DASTI W HUSOOL BARKAT K LIYE:


Ye amal thodi mahnat ka hain aur agar kamyab ho gaye to aapko ta umr ek zabardast tangdasti ko dur karnay ka kimyavi nuskha hath aajaega.

Ye amal ism e aazam یا باسطُ Ya Basitu ka hain.jo log tangdasti k shikar hain aur ye shikwa kartay hain ki main fulan dua parha fulan amal kiya lekin kuch fark nahi huva.
Qalam e elahi ko parhay aur faeda na ho ye ho hi nahi sakta aur aisa kahna gunah bhi hain.kami apnay andar hoti hain.khud ki sar se paon tak janch karay.koi aisy bat maujud to nahi jissay hamara Rab hamsay sakht naraz ho sakta hain?
Usay dur karay tauba karay aur phir dobara us kareem k darwajay ko dastak de.es bar zaroor kamyab hongay.

Ab tarkeeb likh raha hun Gaur se samjlay koi paichida kam nahi bilkul aasan tar hain.

Urooj mah me kisi saad din yani jumerat jumua budh ya itwar se es amal ki shuruat karay.
Saib[apple] k darakht ki qalam milay to behtar hain.wo na milay to anaar ki qalam yani darakht se choti tehni tod kar usay chhil kar point bana liya jaen.phir zafran w arq gulab ki siahi se ya phir khanay me jo zard rang ka estemal kartaya hain sarbat vigera me wo aur gulabjal mila kar siahi[ink] tayyar karlay.aur aga ye bhi mumkin nahi to aapkay liye mazid aasani k liye likh raha hun ki aap black pencil ko halal kamayi se kharid lay.

Ab jis din se amal shuru karay us din tuloo aftab[sun rising] k ek ghantay k andar shuru karday ye amal yani kagaz pe 73 martba jo image me naqsh diya hain usay chal k mutabiq likhay.khyal rakhay ki koi galti na ho jaen.agar galti ho jaen to usay shumar na karay aur naya naqsh likh lay.73 naqsh likh chukay to 72 naqoosh ki aatay me lapayt kar har ek ki alag alag yani 72 goliya banalay.aur jo ek naqsh bach jaen usay hifazat se rakh de.
Ab dusray din 72 naqoosh likhay.aur usmay se ek naqsh alag rakhlay aur aglay din jo ek naqsh hifazat se rakha tha usay dusray naqoosh me yani jo aaj 71 naqoosh likhay hain usmay mila de aur jo ek naqsh aaj k naqoosh me se alag kiya hain usay hifazat se rakhlay.

Aisay rozana kartay rahay.yani rozana 72 naqoosh likhay aur alglay din ka mila diya karay aur us din ka alag hifazat se rakhliya karay.phir usay dusray din walay naqsh me mila de aur dusray din jo naqoosh likhay usmay se ek nikal liya karay.
Aisa 40din tak karna hain.lekin aakhri din yani 40 ve din 72 naqoosh jo aap likhaengay wo aur aglay din ka jo hifazat se rakha hain wo naqsh 72 me mila de yani aakhri din 73 naqoosh hongay usay bagair goli banaye huvay lay kar ravaa pani yani jari pani bahta pani ho wahan lay jaen.aur 73 naqoosh ko us pani me alag alag daltay jaen.aur nazar rakhay ek naqsh pani k bahaon k samnay tarnay lagaega.bas us naqsh ko aap pakad lay aur hifazat se rakhlay phir esay chandi ya tanbay ki khol me rakh kar apnay bazu pe bandhay ya jahan rupay paisay rakhtay hain us jagah pe rakhay.jab tak aapkay pas ye naqsh rahaega kabhi tangdasti ka samna na ho aur barkat hi barkat mahsoos karaengay.

Parhez me 40 din tak Badbudar ashya yani kachi pyaz lahsoon mooli adrak,hing etc ka estemal na karay.
Naqsh likhtay waqt aur goli bana kar ghar se lekar pani me dal kar jab wapis na aajaen kisi se bat chit nahi karni na kisi ko kuch dena hain na kuch layna hain na hi pichhay mud kar dekhna hain.

Waisay main choro se parayshan hun wo jo meray blog se chori kar apnay grp me ya blog me copy paste kartay hain.copy paste to kartay hain lekin aadha adhura amal khud k nam se likhtay hain aur phir aakhir me khud k contact no.de detay hain aur jab koi banda unsay contact karta hain to amal ki ijazat k nam par paisay mangtay hain.aur mujay bhi tajoob hota hain ki log de bhi detay hain.

Ye jo do post kafi waqfay k bad likhi hain wo meri ek bahan jo meri blog reader hain unki request pe likhi hain.

Kya ham itna abhi tak nahi samjay hain ki chahay kisi ko kitnay hazaron rupya de de koi hamay muakkal hamzad pary nahi de sakta.es daur me ijazat ek lootnay ka tareeqa bangaya hain.ha,jisay mahnat nahi karni aur Aladin ka charag chahiye wo paisay barbad karkay dekhlay.muakkal jinn hamzad milaega lekin aapko nahi jisay paisay de rahay hain us dhokay baz amil ko kyu k aap uskay liye dast e ghaib k muakkal jo bangaye…?samjay ki abhi bhi sidhay hath ki hatheli me khujli aarahi hain…!

Sab se ziada shikar bicharay muhabbat k maray hotay hain.mahboob ko panay k liye jo talib e daulat e haram hain unkay hatho.


**naqsh me jo corners me numbers diye hain wo asli naqsh me nahi likhnay hain wo sirf chal samjanay k liye hain.

QARZ KI ADAEGI AUR RIZQ ME BARKAT KA AMAL:


Qarz jaisay marz k liye essay pahlay main ek do amal meray blog me likh chuka hun.ye amal Ahaadis me aaya hain es amal ka asar yaqini hain.aur jo bhi meray bhai ya bahan qarz ki aafat me mubtila hain es amal ko puray qakin se karay.insha Allah zaroor zaroor najat milaegi aur aaenda kabhi qarz k marz me mubtila nahi hongay.
Kuch dost qarz me mubtila hotay hain aur wo mujsay es masalay k liye koi taskheer arwah ka amal mangtay hain taki usay hasil karkay wo apnay mas’alay suljalay.lekin jab fikr e mash ho to aisay aamal kamyab nahi hota aur aaj k daur me ek chillay me aisay aamal me kamyab hona na mumkin sa hain esliye bahtar to ye hi hain ki sab se pahlay apnay aap ko sunnat w shariyat k paband bana liya jaen.rizq halal ki koshish me rahay.gibat juth kinna,hasad,bad nigahi jaisay gunaho se dur rahnay ki koshish kartay rahay.rozana durood e pak aur astagfaar ki aaadat banalay aur sab se barhi bat hain ki Allah taala se na ummid na ho.kyu k mujay kai mails aur msg aisay hotay hain jismay saaf Allah se na ummidi zahir hoti hain.duniya ko hamaray nabi e pak sallallahu alayhi w sallam ne Jail qaraar diya hain.to Jail ya qaid me bhi kabhi Rahat hoti hain? Aur agar kuch Rahat hain bhi to ye Kitni barhi neamat hain? Ham jis maqsad k liye bhejay gaye hain usay yad Rakhay aur kana’at paida karay.Allah ka shukr ada kartay rahay.insha Allah jail me qaid me bhi rahat milti jaegi.aur duniya ka koi bhi insan ho uski zindgi me khushi kam gham ziada hi milaegay.kyu? to takhlik e aadam k waqiye ka muta’ala kar lijye samj aajaega.
Khair sab se pahlay to Allah Rabbul izzat ki bargah me apnay Habib sallallahu alayhi w sallam aur unki Aal w Aulad aur Sahaba e ikram k tufayl dil se dua hain ki Agar meri choti si dag dag jaoli me kuch nekiya bhi hain jo kabil e kabool hain to meray tamaam Ashiq e Rasool bhai aur bahan ko qarz ki bala se nijat ata karay aur iman w izzat ki hifazat ata karay aameen…ya Rabbul aalmeen…bi jahin nabi a kareem…!

Urooj mah me yani chand 1 se 14 k darmiyan kisi bhi jumerat se ye amal shuru karna hain.
Isha ki namaz k bad gusal karkay pak kapday pahan kar khushbu laga kar kisi goshay e tanhayi  me chahay ghar me kamray k kisi konay me ya masjid me kisi konay me do rakat namaz hajat ada e qarz ki niyyat se parhay.har rakat me su.fateha k bad su.ikhlas 3 martba parhay.
Uskay bad 11 martba durood e pak[agar durood e tunajjina sharif parhay to behtar] parhay aur phir zail ki dua ko 200 martba parhay….

اللَّهُمَّ اكْفِنِي بِحَلَالِكَ عَنْ حَرَامِكَ وَأَغْنِنِي بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكْ
Allahumma Akfini Bi Halalika 'An Haramika Wa Aghnini Bi Fadlika 'Amman Siwak.

Phir 11 martba durood e pak parhay.

Pahlay din jis waqt shuru kiya tha usi waqt pe phir rozana parha karay.ab rozana amal se gusl karnay ki ya namaz e hajat ki zaroorat nahi.lekin parhezgari ki zindgi guzara karay yani gunah se bachay shariyat ki pabandi ki koshish me rahay.amal k bad Allah ki bargah me gidgida kar dua manga karay.40 din ka ek chilla hain.insha Allah 40 din me aapka qarz ada ho jaega ya kam se kam uskay ada honay ka koi zariya Allah paida kar dega.aur agar dusra chilla karaengay to qarz ada ho kar maal me khair o barkat paida ho jaegi rizq me barkat hogi ki tangdast na rahengay aur agar 3ra chilla bhi karengay to insha Allah aap dusro ki madad k kabil rahaengay aur rozana ta zindgi parhtay rahaengay to kabhi mohtaj na hongay.

Durood e Tunajjina Sharif ye hain…..


ALLAHUMMA SALLI ALA SAYYIDINA WA MAULANA MUHAMMADIW WA ALA AALI SAYYIDINA WA MAULANA MUHAMMADIN SALAATAN TUNAJJINA BIHA MIN JAMI'IL AHWAALI WAL'AFAATI WA TAQDILANA BIHA MIN JAMI'IL HAAJAATI WATU TAHIRUNA BIHA MIN JAMI'IS SAYYI AATI WATAR FA'UNA BI HAA A'LAD DARAJAATI WATU BAL LIGHUNA BIHA AQSAL GHAAYAATI MIN JAMI'IL KHAIRAATI FIL HAYAATI WABA'DAL MAMAATI INNAKA ALA KULLI SHAY IN QADEER.

Oct 7, 2015

MAH MUHARRAM KI 9VI SHAB SHAB E AASHURA KA AMAL HAJAT w MUSHKIL KUSHAYI:








Essay pahlay chand aamal Aashura k likh chuka hun.es martba jo pahli muharram ko bismillah ka amal hain wo 9v muharram ko karay.kyu k muharram ki pahli ko qamar dar aqrab hain.



Aap ki koi aisy haajat ko hasil kanray ya koi barhi mushkil ko hal karnay k liye main yahan kai martba ka aazmuda amal likh raha hun.jo bhi karaengay ummid qawee hain ki panjtan pak k sadqay w karam se zaroor zaroor uski hajat puri hogi aur mushkil aasan.



#TAREEQA:

Ye Hain Ki 9v Muharram Ki Shab Ko Bad Namaz e Isha K Gusal Karkay Pak Kapday Pahanlay Aur Kapdo Pe Khushbu Lagalay.Kisi Tanha Jagah Chahay Kamray Ka Koi Gosha Hi Ho.Ya Masjid Me Kisi Konay Me 2 Rakat Namaz Kada e Hajat Ya Hal Al Mushkilat Ki Niyyat Se Ada Karay Aur Pahli Rakat Me Surah e Fateha K Bad 11 Martba Surah e Ikhlas Parhay Aur Dusri Me 10 Martba Surah e Ikhlas Parhay.Namaz Ka Sawab Panjtan Pak Aur Shohda e Karbala Ko Nazr Karay.

Ab Kalam e Pak Ko Lay Chumlay Phir Bismillah Parh Kar Kholay.Aur Har Satar[Line] Pe Kalmay Ki Ungli Phertay Jaen Aur بسم اللہ الرحمن الرحیم  Bismillah Hir Rahman Nir Raheem Parhtay Jaen.Satar K Harf Awwal Pe Kalmay Ki Ungli Rakhay Bismillah Parhna Shuru Karay Aur Akhri Harf Pe Khatm Karday Ab Dusri Satar Pe Ungli Rakhay Aur Aisay Hi Bismillah Parhtay Aakhri Harf Pe Lay Jaen Es Tarha Har Safay[Page] Pe Har Satar[Line] Pe Kartay Jaen Yahan Tak Ki Surah e Naas Ki Aakhri Seen Pe Khatm Karday.

Aur Phir Allah Ki Bargah Me Dua Mangay Ki Ya Allah Teray Qalam e Pak Ko Dekhnay Ka Chhunay Ka Aur Bismillah Sharif Ko Parhnay Ka Jo Bhi Sawab W Azr Rakha Hain,Hamay Ata Kar Hamari Galtiyon Ko Muaf Farma Aur Jo Bhi Azr o Sawab Hain Wo Main Maula Teray Mahboob Sallallahu Alayhi w Sallam Aur Unki Aal Aur Shohda e Karbala Ko Nazr Karta Hun/Ya Karti Hun.Teray Kalam Ko Aur Bismillah Ko Wasila Bana Kar Teray Mahboob w Shohda e Karbala K Tufayl Meri Fulan Hajat Hain Maula Meri Hajat Puri Farma YaYun Kahay Ki  Meri Fulan Mushkil Ko Aasan Farma.


Dua Mangtay Waqt Koshish Karay Ki Aankhon Me Aansu Aajaen Aur Gidgida Kar Rabb ki Bargah Me Dua Karay.Aur Mah e Muharram Me [Ashq]Aansu Na Aaen Ye Momin Ki Ankhon Ko Gawaran Nahi Hota.Asgar Ki Masoomiyat Ko Akbar Ki Jawani Ko Sugra Ki Tanhayi Ko Yad Karay.Phir Bhi Na Ro Paaen To Apni Kismat Pe Ro Lay Ki Ya Allah Main Teri Aisy Neamat Se Kyu Mahroom Hun…?



Ye Amal Mainay Ek Hamaray Dost Sayyid Sahib [waisay kahnay ko dost kah raha hun hay meray Aaqa ki Aal to har sayyid mera Aaqa hain.] Jo Meray Karib K Muhallay Me Rahnay Aaen Thay.Kiraaye Ka Makan Tha.Ghar Ka Makan Nahi Tha.Ek Din Sayyid Sahib Ne Bataya Ki Samar Bhai Meri Ek Aarzoo Hain Bas Mera Khud Ka Ghar Ho.Aur Mujay Ye Amal Yad Tha Muharram Ka Mahina Karib Tha To Mainay Fauran Bata Diya.

Ye Karib Tisra Muharram Aaraha Hain.

Miya Biwi Dono Ne Hi Alag Alag Ye Hi Amal Kiya Aur Alhamdu Lillah Dono Ki Dua Kubool Ho Gayi Aur Dusra Muharram Aanay Se Pahlay Hi Khud Ka Ghar Ho Gaya Aur Mukim Ho Gaye Hain.

Aur Ab Bhi Wo Har Saal Ye Amal Kartay Hain Aur Kahtay Hain Ki Koi Aarzoo To Nahi Bas Shukrana K Taur Pe Kartay Hain.

Ye Hi Fark Hain Ham Me Aur Aal e Rasool Sallallahu Alayhi w Aale Hi W Sallam Me. Ham Ek Hajat Se Dusri Hajat Ki Talab Me Zindgi Guzar Detay Hain Hirs Pichha Nahi Chhorti Aur Ye Hain Ki Kuch Na Honay Pe Bhi Shikwa Nahi Aur Jo Thoda SA Bhi Hain Uska Shukrana Ada Kartay Thaktay Nahi.



Teri Nasl e Pak Me Hain Baccha Baccha Noor Ka,

Tu Hain Ayn e Noor Tera Sab Gharana Noor Ka…..Ya Rasool Allah sallallahu alayhi w sallam…!





Aap K Bhi Dil Me Ahlay Bayt Ki Muhabbat Hain To Zaroor Aapki Bhi Dua Kabool Hogi Aur Chahay Hajat Ho Ya Mushkil Aasan Hogi.

Agar Khuda Na Karay Aur Nahi Bhi Hui To Dua Kaha Bekar Jati Hain Kuch Aisy Mushkilo Se Larh Padti Hain Jo Hamaray Guman Me Bhi Nahi Hoti Aur Wo Mushkil Ko Rokna Ziada Zarori Hota Hain,To Kuch Ka Azr Hasr Me Intzar Karaega Ki,Azr Paakar Paanay Wala Kah Uthaega Ki Kash Hamari Ek Bhi Dua Kabool Nahi Hui Hoti…!



Quran Ko Dekhnay Chumnay Chhunay Ka Sawab Aur Bismillah Sharif Parhnay Ka Sawab Aur Wo Bhi Aisy Mo’atbar Shab Me ? Kaun Aisa Mauka Hath Se Janay Dega?

Aug 11, 2015

SAAL BHAR MAALI TARAQQI K LIYE EK AASAN TOTKA:

SAL BHAR MAALI TARAQQI HASIL KARNAY KA EK AASAN TOTKA:

 ye ek aasan sa totka hain aur essay kafi faeda huva hain.koi ziada kharch ya mahnat nahi hain.insha Allah zaroor faeda hoga.

  INDIA K WAQT K MUTABIQ:25/08/2022 Jumerat ko subah 06:19a.m. To sham 04:16 p.m. eska waqt hain.es waqt me aap 30 rs ki ya 30grm haldi ki girah nakad rupay se kharid lay aur usay golden color k kapday me bandh kar aap jahan apnay rupay paisay ya jawahirat rakhtay hain wahan rakhday.bas kaam khatm huva insha Allah aapki maali taraqqi k asbab banaengay aur bahot faeda hasil hoga.

**agar subah saveray haldi ki girah milna mushkil hoto yun karay ki ghar k member ko kahay ki wo aglay din apnay paisay se kharid kar bechnay ki niyyat se haldi lay aaen,aap subah ussay paisay de kar kharid lay.


agar es din saat awwal me na kharid sakay wo dusri saat mushtari me jo ki do pahar ko aaegi usmay kharid lay aur usmay bhi nahi kharid sakhtay hain to subah tuloo se sham guroob tak me saat shams ya qamar me bhi kharid saktay hain.lekin behtar tuloo aftab se ek ghantay yani awwal saat me hain.


es maukay se zaroor faeda uthaye aur apnay dost ahbab ko bhi bataye taki unhay bhi faeda ho....!


meray liye aur khas meray murshid k liye unki sehat aur umr darazi ki dua farmaega....!


Jun 26, 2015

ROOHANI QUWWAT KO BEDAR KARNAY KA EK AASAN PAR KAMYAB AMAL:


 Aksar readers mujay roohaniyat ko bedar karanay ya paida karnay ka amal likhnay ko kahtay hain.main mukhtalif tareeqay janta hun kuch unmay se usay bata deta hun.ab kartay hongay ya nahi wo to wo khud hi jaanay.
Noorani amaliyat k liye zaroori hain ki gunah se dur raha jaen aur jisay chotay gunah ham samjtay hain ya ye samjtay hain ki ye gunah hain hi nahi.us gunah se bhi  dur rahay jaisay juth bolna,juth zuban ki taseer ko batil kar deti hain.aur gunah qalb ko siah.phir roshni kahan se nazar aaegi?
Meray blog se aksar log jo lootaray hain wo post chori kar apnay naam se laga kar logon ko dhoka de kar unsay paisay wasool kartay hain.esliye mera ab bahot hi kam blog pe likhnay ko dil karta hain.Allah ka gazab aur gaibi maar hun logon pe jo musibatzadaon ka faaeda uthatay hain.eska ek elaj hain ki aap blog ki post ko google+ aur facebook pe ziada share kiya karay.

Agar aap kuch hasil karna chahtay hain to yahan ek tareeqa likh raha hun jissay aapko bahot faeda hoga mujay bhi huva tha aur esliye hi aapko bata raha hun.

Parhez aur jismay koi khatra jaan ka ho wo amal main ziadatar nahi likhta.aur koshish ye hi karta hun ki aasan aur sahal amaliyat likhu jissay logon ko jald faeda hasil ho.lekin aaj kal log aisay amal ko dar kinar kardatay hain jo aasan ho.har koi ek din me jinn pary hamzad hasil karna chahta hain.main aisay meray dosto ko mashwarah dunga ki wo pahlay aisy arwah ko samjnay ki koshish karay,aur  jiskay baray me internet ki duniya me dhero reseach aur books article milaengay.phir sochay ki kya ye makhlooq aisay taskheer ho jaegi?jaisay aap soch rahay hain ya koi aapko amal de raha hain ki 3 din me karlo ya 11 din me karlo?

Aaj jo bata raha hun wo yun samjay ki pahla sabaq hain roohaniyat ka.
Aap gunah se dur rahay aur istagfar ki kasrat karay.
Aur jo maqsad hain aaj ka tareeqa likhnay ka wo ye hain ki aap rozana istkhara ko apnalay.
Yani rozana istkhara kartay rahay.koi bhi istkhara kar saktay hain.jo bhi aapko aasan lagta ho.rozana rat ko wo parh kar koi ek sawal ka jawab hasil karnay ki garz se karay jo apkay liye kuch maenay bhi rakhta ho wo sawal k liye istkhara karay.jab tak uska jawab khwab me na milay usay kartay rahay.jab mil jaen to dusra maqsad lay aur uskay liye istkhara karna shuru karday.aisay rozana istkhara kartay rahay.
Istkhara me koi parhez nahi koi khatra nahi koi khauf nahi aur na koi nuqsan hain bas faeda hi faeda hain.
Istkharay me kuch aadab hotay hain wo ye ki pak saf bawuzu ho kar parhay.pak bistar pe mumkin ho to chatayi jo pak saf ho uspay tanha laytay.ye zaroori nahi ki kamra me aap hi tanha ho bas aap bistar pe tanha ho.badan pe khushbu lagayi jaen.aur qibla rukh ho kar soye.ya kuch istkharay me jo hidayat ho uskay mutabiq rukh rakha jaen.
Agar namaz k aadi hain to do rakaat nafil istkhara ki niyyat se bhi kar saktay hain.bas ek hi istkhara rozana na kiya karay jo aapko aasan lagta ho.insha Allah eska faeda aapko kuch dino bad khud nazar aaega.aur Allah k hukm se meray murshid Aulad e Gaus k sadqay tufayl se aapko wo bhi mil jaega jiskay aap khwaeshmand hain.ek do tariqay mainay blog pe likhay hi hain istkhara k.ek tareeqa aur main likh deta hun jo aapki nigahon se parda utha dega.

Rozana rat ko ba wuzu 3054 martba ye parhay….
یا علیمُ علمنی یا خبیرُ اخبرنی یا رشیدُ ارشدنی

Ya Aleemu Alimni Ya Khabeeru Akhbirni Ya Rashidu Arshidni

Aur jo maqsad ho wo zahan me dohratay huvay durood e pak parhtay parhtay so jaen.
Insha Allah khwab me aapko maloom ho jaega.kai bar khwab ek kahani ki tarha nazar aaega jo aapkay sawal ka  jawab hoga ya phir isharon me hoga.jispay kuch gaur o fikr karnay se samaj aajaega.

Agar koi eski zakwat ada karna chahay to taak dino me 85512 martba ya behtar hain ki 125000 martba parhlay.jitni tadad me rozana parh saktay ho wo parhliya karay.koi parhez nahi hain.jo bhi khwab aaen kisi se kahay nahi.bad e zakwat rozana 28 martba parhtay rahay takay faiz jary rahay.zawkat k bad sirf 280 martba parh kar maqsad ka taswoor karkay so jaen.insh Allah khwab me haal bata diya jaega.
Lekin upar jo istkhara bataya hain es ibarat ka usmay zaroori nahi hain ki zakwat k bad hi kiya jaen.

Zakwat k bad ap dusron k liye bhi istkhara karnay k kabil ho jaengay.aur asl bat ko na bhulay ki rozana istkhara ki aadat banaye.essay apko bahot faeda hoga aur aapko rohani duniya se kuch milaega.jissay aap hamesha es khadim Amil Samar Ali ko yad karaengay.
 *istkhara me shuru me jald jawab na bhi milay.aap jaisay jaisay kartay jaengay fauran yani pahli rat me hi milta jaega.


May 1, 2015

BADAN ME KISI BHI HISSAY KI PATHRY KA MUJJRIB ELAJ:




Pathry[stone] chahay badan k kisi bhi hissay me ho pittay me ho ya gurday  masanay me ho sab k liye ek hi elaj hain.jo mera kai bar tajorbay me aachuka hain aur yahan tak ki mainay khud estemal kiya hain aur mujay essay 3re din me pathry nikal gayi thi.

Jo bhi meray bhai bahan es parayshani k sabb taklif me ho wo operation se pahlay zaroor es amal ko karay insha Allah Quran e pak k faizan se operation ki naubat hi nahi aaegi aur pathary reza reza ho kar toot kar paisab k jariye nikal jaegi.
Quran mominon k liye shifa lekar aaya hain.bas zaroorat hain sahih tareeqay se unsay faeda hasil karnay ki.
Allah mujay aur meray tamaam blog readers ko hidayat ata karay aur kalam e elahi k faizan se malamal karay…aameen.

TARKEEB ye hain ki jisay bhi pathri ki taklif ho wo khud ya kisi jannay walay se sufaid plate pe surah e insirah yani Alam nashrah ko zafran w arq gulab se ya phir khanay k zard rang se aur arg gulab se likhwaye aur rozana nihar munh us plate pe saaf w paak pani dal kar usmay likhay saaray harf ko achay se dho lay ki plate pe ek bhi harf baki na rahay.aur phir bismillah sharif parh kar ye pani pi liya karay.agar kisi se likhwaye to bataur hadiya usay kuch raqam zaroor de diya karay.likhnay me airab laganay ki zaroorat nahi hain.Ye amal 40 din ka hain 40 din tak pina hain.agar 40 din se pahlay hi pathry nikal jaen to mazid karnay ki zaroorat nahi.bas do rakat namaz shukrana ada karay.
Jo surah na likh saktay hain wo aur jo gair muslim bhai bahan hain wo ye naqsh plate par likhay.aur rozana nihar munh pi liya karay.
**Surah ya aaatay bawuzu halat me likhi jaen aur pi jaen.

*Corners me jo numbers likhay hain wo naqsh ki chal k hain usay asli naqsh me nahi likhna hain.

Apr 28, 2015

EK SAAL TAK ZALZALOn SE AMAAN



Haal hi me Nepal,india k kuch hissay aur digar paroshi mamalik me zalzala aaya aur tabahiya dhaa di gayi.hazaron log maut ki aagosh me chalay gaye.jis makaan ko apni salamati samjtay thay wo hi kaiyon k maut ka baes bangaya.
Ye makaam e ibrat hain.Apnay gunahon se tauba karay Allah k ghar ki taraf rujoo karay aur badqariyon ko roknay ki koshish karay khud bachay apnay gharwalon ko bachaye.
Zalzlay aanay ki sab se barhi wajah gunaahon ka barh jana hain,kauf e khuda se insan ka khali ho jana hain.
Main yahan ek khatm sharif likh raha hun jis gaon me shahar me ye khatm sharif parha jaenga insha Allah wo gaon shehar zalzala se ek saal k liye mahfooz ho jaega insha Allah….!
Takeeb ye hain ki   41 ya 51 log pak saaf bawuzu khatm me baithay aur sufaid kapda bicha kar uspay gintee k liye khajoor ki gutliya ya jo bhi aap shumar k liye rakhna chahay rakhlay.aur ab kapday k amnay samnay sab log baith jaen aur Su.As-Saffat ki aayat 180-181-182 jo ye han…

سُبْحَانَ رَبِّكَ رَبِّ الْعِزَّةِ عَمَّا يَصِفُونَ


وَسَلَامٌ عَلَى الْمُرْسَلِينَ


وَالْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ


Subhana rabbika rabbi alAizzati Aamma yasifoona

Wasalamun AAala almursaleena

Waalhamdu lillahi rabbi alAalameen.

En aayton ko sab mil kar 2,94,849 martba parhay aur aakhir me dua mangay.
Insha Allah ek saal k liye zalzala se amaan milaegi.
Khatm aisay logon ko shamil karay jo aayat ko parhna jantay ho aur agar ek hi nashist me sab parhlay to noorul ala noor warna ek do din teen din me parh kar tadad khatm karay.aur Allah ki bargah me es aayat ko wasila bana kar dua mangay.
Khatm shuru karnay se pahlay sabhi log 11-11 martba durood e ibraheem zaroor parhlay.
Es khatm ko kisi barhi musibat bala wabaa ko dur karnay ki niyyat se bhi parha ja sakta hain.

*ghar ki har diwaar par green marker se ism e elahi یا ظاھرُ  ko likhlay.insha Allah wo deewar girnay se mahfooz rahaegi.
*Raat ko sotay waqt aaytul kursi 3 martba parh kar dono hatheliyon pe dam karkay zor se dastak[taali] de aur kalmay ki ungli se apnay ghar ka hisar karlay aur taswoor se apni dukaan ya karobar ki jagah ka bhi hisar karlay.aur kabhi bahir gaye huvay hain to wahin se apnay ghar aur dukan ya karobari jagah factory vigera ka hisaar karliya karay.
Essay ye faeda hota hain ki taali ki jahan tak aawaaz jaegi wo jagah hisar me aajaegi aur ungli k isharay  se jiska hisar kiya jaega wo jagah bhi Allah ki hifazat me aajaegi aur koi jinn shaitan chor usmay dakhil na ho na aag lagay na koi nuqsan ho na nind me maut aaen.
*aur jo bhi bahan ya bhai jab bhi koi khatra mahsoos karay khas kar k aaj kal jo auraton pe larhkiyon pe hamlay hotay hain.aisay halat me aaytul kursi parhna shuru karay jaisay hi khatra mahsoos ho aaytul kursi ka wird jari karday insha Allah aapko koi nuqsan na pahocha paega.

*zalzala k waqt azaan kahna chahiye.