Aug 7, 2016

‪#‎SHARF‬ E ATARAD KA AMAL :

Sitara Atarad ka insani dimag se talooq

mana jata hain aur taleem w tarbiyat se

eska barha gehra talooq hain.ye sitara

zojasdain hain yani na nek hain na bad aur

 nahi nahas hain ye saad k sath saad ho 

jata hain aur nahas k sath nahas.daeratul

 burj me esay JOZA aur SUMBOLA ka hakim

 sitara mana gaya hain.joza eska zati burj

 hain aur saani burj sunbola hain.


Atarad ko burj sunbola k 15 darjay pe sharf

 hasil hota hain.sharf e atarad me dimag se

 mutaliqa amoor me kamyabi k liye amal ya 

naqsh taweez tilism kiye jaen to behad 

asardar hotay hain..phir chahay wo dimag ki 

kamzori ko dur karna ho yad-dast ko tez 

karna ho ya quwat e idrak yani sochnay 

samjnay ki taqt ko barhanay ka amal naqsh 

ya tilism ho ya phir kisi nayi tahreer ka

 aagaz ho ya imtihan chahay likh kar 

kamyabi hasil karnay ka ho ya bolkar en

 tamam kamo me kamyabi k liye es waqt me

 naqsh tilism tayyar kiye jaen to bahot hi 

muasseer sabit hotay hain.

Haziraat92@gmail.com



waisay es waqt k khas tilism aur naqoosh w 

ilm jafar k amaliyat vigera har ek k bas ki


 bat nahi qawaed o qawaneen se aagah hona


 zaroori hota hain.esliye jaisa ki main es


 blog pe likhta hun aasan par asardar ho 


aisa hi ek amal likh raha hun.insha Allah


 essay faeda hasil karay.


Sharf e Atarad k awaqat me jo zahan ki tezi

 k liye awqat bataya hain yani ki


#sharf e Atarad me es amal k liye muafiq

 waqt…[india new delhi]
10/08/2016 Budh.
09:09 a.m. se 10:15 a.m. saat mushtary.
بسم الله الرحمن الرحیم
بسم الله الّسمیع الْبصیر الّذی لیس کمثله شیءٌ وّ هو بکل شی ءٍ علیم برحمتک
 یا ارحم الراحمین و صلی الله علی محمد و اله اجمعین
Bismillah hir Rahman nir Raheem. Bismillahi's sami'il baseeri,al'lazee lai'sa ka'mislihi shai'un'wa huwa bikul'li shai'un aleemu. Birehmatiqa yaa arhamar raheemeen.w sallallahu ala muhammadin wa aalihi ajma'een.

Upar likhay waqt me baadam ya misri lay,

 uspay ye dua 111 martba 11-11 martba

 durood sharif k sath parh kar dam karkay 

rakhlay.

Aur rozana usmay se ek adad bachay ko 

khanay k liye diya jaen.

Aur itnay laynay hain ki kam se kam 41 adad 

to ho hi.Allah ka fazal hoga aur yad dast 

barh jaegi..in sha Allah.



May 26, 2016

ROOHANI NAQSH : Jinn Se Dosti K Amal Me Madadgar Naqsh



Es Naqsh Ko Mahinay Ki Kisi Bhi Jumerat Ko Subah Tuloo Aftab K Waqt Zafran W Arq Gulab Ki Siahi Se Sufaid Kagaz Par  Likhay.Aur Rat ko Sotay Waqt Apnay Takiye k Nichay Rakhay Aur Jis Darakht Ya Jagah Pe Aap Amal Karna Chahtay Hain Us Jagah Pe Jinn Hain Ya Nahi Wo Niyyat Dil Me Rakh Kar So Jaye.Insha Allah Pahlay Hi Din Aapko Maloom Ho Jaega.Esmay Isharon Me Bhi Bataya Jata Hain Ya Saaf Saaf Bhi.Jaisy Jisky Quwaat.
Pahlay Din Khwab Me Jawab Na Milay To Dusray Ya Tisray Din Bhi Karay.Ziada Se Ziada 7 Din Me Maloom Ho Jaega.
Ek Hi Naqsh Rozana Rakhay.Lekin Jab Jawab Mil Jaen To Usay Pak Saf Bahtay Huvay Paani Me Baha De Ya Kisi Pak Saaf Jagah Pe Dafan Kar Day.

Naqsh Likhnay Se Pahlay Aur Jab Jawab Mil Jaen Tab Kisi Garib Ko kuch Khairat De diya Jaen Jo Bhi Chahay Ek Rupya Dus Rupiya Ya Jo Aapka dil Chahay.Lenay Wala Koi bhi Mazhab Ka Ho.Mohtaj Ho.

May 10, 2016

GURBAT KA KHATMA

Mujay Rozana Aisay Mail Aur Msg Aatay Hain Jismay Log Apnay Masael Likh Kar Uska Rohani Hal Chahtay Hain.Har Ek Ki Mushkil Aur Uskay Masael Alag Hota Hain Aur Jab Main Un Tamami Mas'alay Ka Itr Nikalta Hun To #ZIADATAR Mujay Masael Paida Honay Ki Wajah 'Rupay  Ki Kami,Amdani Na Hona Ye Hi Milti Hain.Es Parayshani K Liye Huzur Nabi e Pak Sallallahu Alayhi w Aalehi w Sallam Ne Rohani  Tareeqay Ham Ummati Ko Bataya Hain.Jismay Sab Se Ziada Aasan Aur Qawee ul Asar Tareeqa Hain Huzur Nabi e Aalmiyaan  Sallahu Alayhi w Aalehi w Sallam Pe Durood Sharif Parhtay Rahna.Aur Istagfar Kartay Rahna.

Umiid Hain Aap En Pay Amal Paira Ho Jaengay Aur Allah Ki Rahmat Aapko Dhundhti Hui Dher Saara Ina'am o Ikram Liye Aaegi.Namaz Ki Pabandi Karay Aur Sath Me Ek Aur Amal Bata Raha Hun Jisko Bhi Apnalay Insha Allah Rizq Ki Tangi Aapkay Aaspas Kabi Nahi Bhatkaygi.
Shart Ek Rahegi Ki Amal Kisi Pe Zahir Na Karay.Kisi Ko Ye Amal Bataye Bhi To Ye Na Bataye Ki Aap Bhi Amal Kar Rahay Hain.

Sab Se Pahlay To Aapko Namaz Ki Pabandi Karna Hain Aur Fajr Ki Namaz K Bad Ya Phir Tuloo Aftab K 20 Minits K Bad Surah e Yaseen Sharif Parhna Hain.Awwal o Aakhir 3-3 Martba Durood e Pak Parhay Aur Agar Durood Tunajjina Sharif Parhay To Behtar Hoga Warna Jo Bhi Aapko Yad Hain Wo Durood e Pak Parhlijye.

Ab Yaseen Parhna To Hain Lekin Meri Likhi Hui Tarkeeb Se Parhna Hain.

TARKEEB  Ye Hain Ki....

Durood Sharif K Bad Bismillah Sharif Parh Kar Jab Aap Yaseen Parhna Shuru Karay Aur Lafz مبین Mubeen Pe Pahochay To Wo Lafz Parhnay K Bad...
Aapko 200 Martba 
الوھابُ
Al Wah-habo
Parhna Hain Aur Uskay Bad 44 Martba 
اللطیفُ
Al Lateefo
Parhna Hain.Phir Yaseen Sharif Ko Aagay Parhna Shuru Karay Aur Dusra Mubeen Aaen Uspay Thahar Jaen Aur Jaisay Pahlay Dono Asma Parhay Thay Thik Waisay Hi Dono Asma Usi Tadad Me Parhay Yani Ki Al Wah-habo 200 Martba Aur 
Al Lateefo 44 Martba Aur Phir Aagay Yaseen Sharif Parhna Shuru Karay.

Yaseen Sharif Me Kul 7 Mubeen Hain.Aur Aapko Har Mubeen Pe Ye Dono Asma Likhi Tadad Me Parhna Hain.

Koi Parhez Nahi Hain.Aur Har Martba Jab Mubeen Pe Thehray Aur Asma Ka Wird Karay To Apnay Maqsad Ka Dil Me Taswoor Karay Aur Jab Yaseen Sharif Pura Parhlay To Aakhir Me Allah Ki Huzur Apnay Rizq Me Barkat Ata Karnay K Liye Farakhi Ata Karnay K Liye Dil Se Aur RoRo Kar Dua Karay.Rozana Fajr K Bad  Ya Tuloo Aftab k Baad Amal Karay Aur Phir Apna Jo Bhi Kam Kaj Hain Usmay Lag Jaen Insha Allah Dhiray Dhiray Aur Allah Chahay To Usi Roz Aapko Amal Ka Asar Nazar Aaega.Kam Se Kam 41 Din Zaroor Karay Aur Agar Zindgi Bhar Kisi K Aagay Hath Faylana Nahi Chahtay Hain To Esay Apnay Mamol Banalay Aur Rat Ko Isha Bad Ek Martba Surah e Waqiya Parh Liya Karay.

Shart Ek Hain Ki Kisi Se Amal Ka Tajorba Share Na karay.Ki Mainay Ye Amal Kiya Aur Mujay Ye Faeda Hasil Huva.

*Tadad Jo Parhnay Ki Likhi Hain Usmay Kami Beshi Na Ho Jaen Eska Khyal Rakhyega.aur Kisi Sabb Waqt Pe Na Parh Paen To Jo Bhi Waqt Milay Parhliya Karay Taki Amal Pura Kharab Na ho Aur Mehnat Ka Phal Milay.

***Main Aapka Khadim Bhi Hun Bhai Bhi Hun Aur Mujay Meray Murshid Ki Ata Se Ye Amal Mila Hain.Aap Sab Ki Bhalayi K  Liye Post Ki Hain.Ummid Hain Aap Kabool Kar Apnay Masael Ka Hal Jo Ki Maali Tangi Aur Gurbat Hain Ussay Nijat Hasil Karaengay.Agar Faeda Hasil Ho To mMray Murshid Ki Sehat K Liye K Liye Dua Karyega. Muj Gunahgar K Liye Hath Utha Kar Dua Kardijyega Taki Aakhirat Me Ye Gunahgar Apnay Kartooto K Baaes Sharminda Na Ho.Aur Aap Sab Ki Duaon K Sabb Meri Bakhshih ho jaen..!

Apr 6, 2016

SHARF E SHAMS KA AMAL



FAT'H-NAAMA :





Ye waqt har aata hain aur es sal ye waqt kal yani es saal ye waqt
#SHARF E SHAMS :
07/04/2020 Tuesday 14:19 to 08/04/2020 wed. 14:44
tak hain.ye waqt india k waqt k mutabiq hain.

Waqt na honay k sabb main aaj hi ye post kar raha hun.esliye readers se guzarish hain ki parh kar share bhi kar diya karay taki dusray log bhi faeda utha paen.

Es waqt k darmiyan aap gusal karkay pak saf kapday pahan kar sandal ya loban ka bakhoor karay ya agarbatti jala kar zafran w arq gulab ki siahi se ya phir orange pencil ya pen se ye Loh[naqsh] sufaid kagaz pe likhlay.

Naqsh me jo english me blue numbers likhay hain wo naqsh ki chaal samjanay k liye hain usay asli naqsh me nahi likhnay hain aur jo khana 1,8,11 aur 14 me aadad likhay hain wo bhi likhnay hain sirf jo aayat k kalmat hain wo hi likhay jaen.

Jab likh chukay to Loh ko samnay rakh kar 11-11 martba awwal o akhir durood e pak aur darmiyan me 1100 martba aayat

نصر من اللہ و فتح کریب

" Nasrun min Allahi, wa fat'hun kareeb"

Parhay aur phir naqsh par dam karday aur ab esay mod kar tanbay[copper] k taweez ki khol me rakh kar galay me pahanlay ya sidhay bazu pe bandh lay insha Allah jab tak ye Loh aapkay pas hogi aapkay rozi rozgar me barkat hogi.aapki izzat me martbay me bulandi hasil hogi.logon k dilon me muhabbat paida hogi aur dushman pe galba hasil hoga.insha Allah.


*naqsh aap chahay to saat shams me tayyar karlay ya phir jumua k din tuloo aftab k ek ghantay k andar tayyar karlay.aur pahanna aapko itwar k din subah tuloo aftab k ek ghantay k andar hain.

Feb 10, 2016

#TANG DASTI W SALAMATI KA MURSHID E PAK KA ATIYA AMAL:



Ek hi amal se ye do chizay nasib hogi insha Allah.murshid e pak ne ye tareeqa kai muridin ko bataya hain aur aaj ap sab se share karnay k liye bhi ijazat hain.jis ism e pak ka amal likh raha hun umooman log es ism e pak k asrat se waqif nahi na itni ahmiyat di jati hain.

Ye ism یا سلام hain jo ki aapnay image se kiyas laga liya hoga.Tarkeeb ek dam aasan di hui hain murshid e pak ne jo yun hain ki urooj mah me Kisi bhi saad din se ism e pak 
Ya salaamu ki zakwat ka aagaz karay aap chahay Kisi bhi nauchanday din se karay jaisay jumerat jumua ya itwar peer se ya phir aap enhi dino me urooj mah se shuru karay.
Aap din rat me ek waqt muqrrar kar k rozana ek goshay me baith kar bagair Kisi se bat kiye 3125 martba یا سلامُ ka wird karay awwal o aakhir 33 martba durood e pak parhay.
Amal ki muddat 120 din ki hain aur lagatar Kisi din nagay kiye bagair ye zakwat ada karay.120 din bad aap es ism e pak k amil hain.
koi parhez nahi.bas parhtay waqt munh se koi bu na aaen maslan kachi pyaz lahsoon ki tambaco bidi cigaratte ki bu na aaen esliye amal se pahlay munh saaf kar liya karay.bawuzu parhay aur koshih karay ki ziada waqt bazuwu raha karay.

Ab jagah ki pabandi lazmi nahi bas waqt muqrrar ki agar pabandi kar paaen to behtar hain warna wo bhi lazmi nahi jab bhi waqt fursat milay parh zaroor liya karay.
Parhez bhi kuch nahi hain.

Es liye aapkay liye kaafi aasan zawkat hain ye…!
120 din k bad rozana 131 martba parha karay.

Essay kya faeda hoga ek to aapkay rizq me behad barkat hogi aur agar bandish hain to dur hogi,daemi wird karnay se yani mudawmat se koi bandish nahi kar paega.na kabi tangdast rahaegay.eskay elawa saanp bichhu sher jaisay muzee janwaron se hifazat rahegi aur kabhi amil ko dank nahi maraega.aur kabhi itfaq se samna ho bhi jaega to amil ko dekh kar sar juka kar bhag jata hain.aur bhi behad fawaed hain jo zakwat ada karnay walay pe khulaengay.

Es daur k liye zaroori hain ye zawkat ada karna kyu k salamati kahan?

Jan 3, 2016

MERAY MUJARRIB ISTAKHARAY



Istakhara yani ki Aleem o Khabeer ki zaat se mashwara karna.aur ahadis e mubarika me huzur sallallahu alayhi w sallam ne istakhara ki taleem as'hab e Rasool allah ko istakhara ki taleem denay aur talkin k saboot maujud hain.ye aisa amr hain jispay amal karnay wala kabhi nuqsani me nahi rahta.hamaray liye kya bhala hain kya bura hain sivaye hamray maabood k kaun jan sakta hain?
log aminlin se najoomi se Ramaal se rujoo kartay hain ki fulan kam me kaisa anjam rahega shadi kaisy rahegi? vegera.meray bhai Hamaray Gaibda Nabi Sallallahu alayhi w aalehi w sallam ne hamay har sawal ka jawab hasil karnay ka tareeqa bata diya hain.lekin koi mahnat nahi karna chahta.bas meray jaisay do takkay k insan se puch kar khush ho jatay hain.aur zindgi k barhay faislay naqis ilm rakhnay walon pe bharosa kar karlaytay hain.istakhara khud kiya karo.aur Allah se mashwara liya karo.kabhi nuqsani me nahi rahongay.lekin istakhara me agar jawab me Na kardi jaen to wo kam hargiz na karon wo zaroor zaroor baesay nuqsan hoga.
waisay to mainay meray blogs pe chand tareeqay likhay hi hain phir bhi kai ahbaab bar bar istakharay ka tareeqa puchtay rahtay hain to main yahan meray mujarrib istakharay me se chand istakhray ek hi post me likh raha hun.jisay jo thik lagay wo apnaye.

istakhray me kabhi khwab nahi bhi aata to jitnay din ki muddat likhi ho utnay din karli jaen aur phir bhi khwab me koi nishandehi na ho to samjlay ki ye kaam apki marzi pe chhora gaya hain ki karay ya na karay.matlab ki esmay karaengay to koi khas faeda nahi hoga na nuqsan.darmiyani darjay ka hoga.

aur kuch hazrat ko khwab yad nahi rahnay ki shikayat hoti hain. to wo rat ko kam khaya karay aur sotay waqt nim garm dudh pi kar soya karay.aur achay khwab aksar yad na rahtay ho uski wajah Haram geeza hoti hain.esliye istakharay k ayyam me roza rakha jaen to behtar hain aur pak saf aur halal rizq ka estemal kiya jaen.waisay to hamay rozana halal hi lukma khana aur khilana chahiye par daur hi aisa hain ki Pak taheer lukma jaisay gayib hi ho gaya hain.Allah khair karay aur hamay rizqan taiban ata karay aameen.

zindgi k koi bhi aham faislay bagair istakharay k na karay.shadi karobar beroni safar,partnership, kharido farokht rishta court k mamlat ho ya rohani masaeel ho.istakharay se hi madad lay.jadu aseb ka shaq hoto bhi istakhara karliya jaen.zaroor nishandehi milaegi hi milaegi.phir elaj ki taraf rujoo kiya jaen.aur har istakharay  se pahlay 11 martba aaytul kursi parh kar dono hatheliyon pe dam kar puray badan pe pherliya jaen.ye badni hisar ho jaega aur koi shaitani makhlooq roday nahi dalegi.pak saf halat me pak saf bistar pe bawuzu aur itr laga libas pahan kar sunnat tareeqay se laytay jismay khwab me jawab milta hain.jo bhi istakhara aap par khul jaen usay hi apnalay kabhi ye to kabhi wo na aazmaya karay.ek hi istakharay se aap ko bahot faeda hoga jiska zikr main ek post me pahlay bhi kar chuka hun essay batni bhi bahot faeday hotay hain.
ab main jo course me sikhata hun ye hi post blog readers k nam likh raha hun.ummid hain aap essay khub faeda uthaengay.

MERE MUJRRIB ISTKHARAY{KHAS}:
Istkharah k ma,ni talb e khair k hain,bhalayi ya burayi se aagahi hasil karna.kaam kaam aagaz karnay se pahlay istkhara karna yani apnay apko musibaton aur jazmaton aur khsaaray se mahfooz karna hain.istkhara ka ek azeem faaeda ye hai ki agar istkharah me aapko jawab "HA" me milay to yani istkharah ka natija bhi yehi nikalta hain kaam nek mufeed aur natijabakhsh sabit honay wala hain to amal ki barkat se rabb ki rahmat bhi shamil ho jati hain aur har haal me amal nek anjam ko pahochta hain.aur agar jawab me "NA" aata hain to kaam me koi na koi rukawat paida hojati hain.
istkharah natijabakhsh amal hain,masnoon hain.jab koi banda naya kaam shuru karay to lazim hain ki nataej ki aagahi k liye istkharah karay,taki b,adme esay koi parayshani na ho.hamay istkhara bahot hi kaam deta hain,amaliat me istkharah jahmat se bachata hain aur agar rabb ki janib se ha bhi mili to kaam pe ek kaamyabi ki mohar bhi lag jati hain.
ab yahan kuch mere aazmuda tareeqay likh raha hun...

ISTKHARAH 1:

ye silsila qadriya ka khas istkharah hain aur bahot hi powerful hain.aap zaroor aazmaye.
b,ad e isha jab sonay ka irada ho to pak saf libas k sath bawuzu 2 rak,at namaz e nifal ada karay har bar rak,at me su.fateha k b,ad 303 martba surah ikhlas sharif parhay,ab junoob ki taraf munh karkay ye 3 asma ko 111 bar parhay aur qibla rukh ho kar es 3 asma ko parhtay parhtay so jaen.inshallah pahli hi raat me jawab mil jaega,jikay liye aapnay ye istkharah kiya hain.

اَلنورُ الظَاھِرُ اَلۡباسطُ

AL NOORU AL ZAAHIRU AL BASITU

ISTKHARAH 2:
Aap sallallahu alayhi wa sallam ne farmaya ki jab tum kisi kam k shuru karnay se pahlay istkharah karliya karo.taki eskay zariye se rabb ul izzat tumhay us kaam ki bhalyi aur burayi ya nafaa ya nuqsan se aagah farma de.istarha banda apnay kaam me rabb se mashwarah talab karta hain ki karu ya nahi?aur essay barha kar kya baat ho sakti hain ki ham khuda e pak se salah le kar kam karay.khusoosan mere nazdik wo kaam hargiz zawal ka munh nahi dekh sakta jo khaleq haqeeqi k isharah par shuru kiya gaya ho.esliye istkharah nihayat zaroori aur lazmi amal hain.jo buzorgo se chala aaraha hain.istkharah k lakhon tareqay hain.magar main yahan mere murshid k bataye hi tareeqay pesh karunga jissay mainay khud aazmaya hain aur faaeda hasil kiya hain.
salatul istkharah parhay aur jismay kisi soorat ki qaid nahi jo dil chahay wo parhay.salaam k b,ad 101 bar durood sharif pahay aur
101 bar
یا خبیرُ اخبرنِیْ
101 bar
یا رشیدُ اُرشدنی
101 bar
یا ھادیُّ اِھدِنِی
101 bar
یا علیمُ علّیمنِی
aur akhir me
101 bar
durood e pak 
parh kar dua mangay ki falan kaam k mutaliq aagaahi bakhsay aur phir usi jagah musallay pe so jaen.inshallah usi rat me aapko aapka jawab mil jaega.agar khuda na khwansta pahli raat me maloom na ho 3 rat tak amal karay teen raat me zaroor kamyabi ho gi aur aapko apana jawab mil jaega.
waqt isha b,ad ka hain aur tanahyi me kiya jaean.

ISTKHARAH 3:
pak saf ho kar kisi tnaha kamray me musallay pe baith kar pahlay 100 bar istagfaar parhay.aur 261 martba durood e pak parhay.aur phir apnay kaam ki bhalyi ya burayi maloom karnay ki niyyat dil me rakhkay, do rak,at namaz b,niyyat istkharah es tarah parhay ki pahli rak,at khatm karkay jab dusri rak,at me jab
إِيَّاكَ نَعْبُدُ وإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
par pahochay to es aayat sharif ki bila tadad takraar karay aur uswaqt tak jary rakhay jab tak aapki gardan khud b khud daaeyn ya baaeyn janib ko ghum na jaen.jab gardan kisi bhi janib phir jaen to baqaya namaz ko ada karay,salam pherlay.
ab agar aapki gardan daaen taraf[right side]ghumi ho to kaam me kamyabi hain.aur agar bayi[eft side] ghumay to kaam na karay aur karnay me nuqsan hain.
agar karaengay to ek to rabb se salah lekar na maanna ye khulam khuli sarkashi hain aur jiska natija hargiz acha nahi hota.

koi bhi kaam ho istkhara qurani karna chahiye to inshallah sahih jawab milta hain.jis jagah soye wo jagah apka libas aapka badan aur apka bister bhi pak rakh kar istkhara karay.inshallah pahlay hi din hi jawab mil jaega.aur kabhi batayi muddat me jawab na milay aur aapnay sabhi shart ko kayim rakhtay istkharah kiya tha par jawab mudat e amal me na mila to eska matlab ye hota hain ki esmay na nafa hain na koi nuqsan ye aap pe chhora jata hain ki aap chahay to karay chahay to na karay.
istkharah jaez kaam k liye karna chahiye aur farz ki adaegi k liye ya aisy baat k liye istkharan nahi kiya jata.jaisay koi main dhadhi rakhu?main namazi banu?
aur ek bat agar paichida kaam jahan aapki aqal ya dil jam nahi raha aisay kaam karnay se pahlay istkharah karlaena chahiye.
ek bat yad aagayi hain to likh deta hun ki hamaray gaon me ek neem ka barha darakht hain ek ladkay ko ek khwab aaya ki darkht k nichay kisi buzorg ki mazar dabi hui hain aur wo wahan khudayi karkay nikalnay ko kahtay hain.usnay sab ko bataya log agarbatti lekar pahoch gaye,aur sab khodnay ki tayyari karnay lagay.
ek samajdar insan ne kahan ki main mere peer se puchh kar aata hun phir kuch kaam karaengay.peer sahib ne usay istkharah likh kar diya aur usnay mujay bataya aur usnay muj se karnay ko kahan to mainay uskay peer ka hawala detay mana kar diya,ye tab ki baat hain tab main ilm e rohani me sirf qadam hi rakh aaya tha.
phir usnay istkhara kiya to usay jawab me na boli gayi aur kuch dikhaya gaya tha.usnay sab ko rok rakha aur apnay peer k pas ja kar khabar batayi peer sahib ne farmaya ki wahan ek jinn qaid hain agar wahan khodtay to wo jinn nikal jata aur tum sab gaon walon ko parayshan karta.
khair ye hain istkharah ki barkat agar bagair istkharah k zameen khodi hoti to na janay kitna barha nuqsan uthatay?