Oct 28, 2018

BEROZGARI SE NIJAT K LIYE MUJARRIB AMAL:


Aaj kal ye mas'ala har kisi ko pesh aaraha hain.rozgar ki parayshani na naukri mil rahi hain na na koi karobar ho pa raha hain.na kisi bhi tarha ka zariya e rozgar ban raha hain.
ek amal mainay aazmaya huva hain jo ki ek bhai ko diya huva tha aur Allah k karam se uski parayshani dur ho gayi hain to wo hi aazmuda amal meray blog reader k liye aapka khadim samarali pesh kar raha hain.taki jo bhi parayshan rozgar se hain wo koshish k sath sath rohani madad bhi shamil karlay taki aasani paida ho aur apni mushkilay dur kar paen.
es amal ko rozana bad e isha se kisi bhi waqt parha ja sakta hain lekin awwal din jis waqt pe parha jaen to usi ko rozana waqt muqrrar karliya jaen.aur jab tak maqsad me kamyabi na milay wird jari rakhye yani ki koi muddat fix nahi lekiin Allah nay chaha to 40 dino k andar kam ban hi jata hain.aur koi parhez nahi na koi dar khauf ki bat hain.bawuzu paki safi ka khyal rakhtay huvay parhay.aur aakhir me Allah se dua karay aur kamyab hojanay pe es gunahgar Amil SamarAli aur uskay murshid e pak k haq me dua karaega.
durood e pak 21 martba durood e pak [durood e mustgas ya tunajjina sharif parhay to behtar hain]
11 martba surah e fateha sharif,
11 martba surah e ikhlas sharif,
11 martba surah e muzammil sharif,
11 martba..Rabbi inni maghlubun fan-tass-ssir 
101 martba Ya Fattahu Ya Razzaqu
21 martba durood e pak
ye sab parh kar fauran sajday me sar rakhday aur Allah se rotay huvay dua karay.apnay gunaho ki muafi mangay.insha Allah aapki fariyad jald suni jaegi.unki rahmat se mayoos na ho aapkay liye zaroor jaldi hi bandobast ho jaega.
*bas kisi ka haq na maray na kisi ko sataye insan ho janwar ho.
**ye amal aap kisi bhi din shuru kar saktay hain urooj ya zawal ki koi qaid nahi lekin agar ap chand dikhnay k pahlay 10 din andar budh jumerat jumua ya itwar ki shab se shuru karay to behtar.

Sep 4, 2018

NAQSH HAR KAARA


Aaj Jo Main TAWEEZ Batanay Ja Raha Hun wo Taweez Bahot Hi Kimmati Hain.Aur Mujay Meray Ek Ruhani Madadgar Nay Mujay Meri Sakht Zaroorat Pe Ata kiya Hain.Ye Taweez  Mujay Khwab Me Ata Huwa Hain.Ye Taweez Likhna To Bahot Hi Aasan Hain Aur Koi Chal Nahi Aur Mainay Ijazat Li Hain Sab Se Share Karnay Ki Es Liye Sirf Meray Memberan Jo Mujsay Course Kar Rahay Hain Usko Hi Denay K Bajaye Mainay Apnay Blog Pe Hi Likh Diya Hain Taki Har Koi Faeda Hasil Kar Paen.Har Kara Matlab Har Ek Kam Hoga Insha AllahChahay Jadu Ho Aseb Ho Jismani Amraz Ya Ruhani Bimariya Ho.Bandish Ho Ya Nazar Ho Shadi Ya Karobar Har Ek Mas’alay Me Ye Taweez Kam Dega.Likhnay Me Koi Chaal Nahi Hain.Jaisay Likh Payen Likh Lijyega.Kam Ho Janay k Bad Taweez Ko Khol Kar Saaf bahta Pani Me Baha De Ya Pak Zamin Me Dafan Karday Aur Ek Muthi Chini Ya Shakkar Chutiyon Ko Dal De.
Shaq Na Karay Aur Khud Bhi Faeda Uthaye Aur Dusro Ko Bhi Pahochaye…!
Taweez Ko Surakh Scatch Pen Ya Ball Pen Se Likh Saktay Hain.Galay Me Pahnay Aur Zaroratan Pani Me Dal Kar Piya Bhi Jayen.
>Aap Sab Ka Khadim e Millat Amil Samar Ali Qadri Chishty…..!


muhabbat ka amal


Essay pahlay me ek namaz e muhbbat ka tareeqa likh chuka hun par kai ahbaab ko esay ada karnay me paichidgi maloom ho rahi hain.khair wo ek lajawab asardar amal hain.jo usay na kar sakta ho uskay liye ek kuch aasan tareeqa jaaez muhbbat paida karnay ka yahan likh raha hun.ye tareeqa sirf shadi shuda hazarat k liye yani miyan biwi k darmiyan muhbbat paida karna,bhai bhai me ya bahan bhai me ya bap betay me ma ma beti me ristedar me muhbbat paida karnay k liye hain.gair shadi shuda kisi larhakay larhkiyon me muhbbat paida karnay k liye nahi chahay ussay shadi karna chahtay ho to bhi iski ijazat nahi hain.jo aisay mamlat me eska istemal karaega uskay nataej ka khud zimmedar rahaega.
hub k aamal ka  najaaez istemal karnay walay ka anjam duniya me ye hota hain ki wo kayinat k har fard se muhbbat kho deta hain aur bars jaisy bimariyon me mubtila ho jata hain.

tarkeeb:
Urooj maah me kisi saad din yani peer jumerat ya jumua ko kisi ek waqt mukarrar pe amal parhna hain.amal ki niyyat karlay.
amal k awal o akhir 11-11 bar durood e pak parha jaen.ab 60 martba su.fateha sharif parhay.ab 40 bar es tarkeeb se parhay ki jab aayat
 إِيَّاكَ نَعْبُدُ وإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
  Iyyaka nabudu waiyyaka nastaeenu
par phaochay to aayat ki takraar 40 bar karay.es tarha 60 aur ye 40 bar kul 100 bar surah e fateha parha jaega.ab 4 rak,at naza kada e hajat ki niyyat se parhay .phali rak,at me su.fateha k b,ad 50 bvar su.ikhlas aur dusri me

la hawla wala quwwata illa billahil aliyyil azim 
50 bar tisri me 
ASTAGFIRULLAHA RABBI MIN KULLI ZANMBIVA WAATUBO ILAIHE.
50 bar aur chauthi me koi bhi durood e pak 50 bar parhay.
salam b,ad Allah se dua mangay.
amal ki muddat 11 din hain agar es 11 din me kaam na ho to mazid 11 din karlay.inshallah aisay 3 chillay karnay se zaroor aapka maqsad hasil ho jaega. 




HAMZAD SE KHWAB ME MALOOMAT HASIL KARNA :
Essay pahlay main ek do amal hamzad k likh chuka hun aur ek amal hamzad se mashwara ka bhi likh chuka hun,lekin kuch hi ahbab hain jo us amal me kamyab huvay.kyu k wo ek istakhara ki tarha Haziraat92@gmail.com  amal hain aur usmay dil ka saaf hona lazmi hain.
Ye amal jo likh raha hun uskay liye aapko thodi mahnat shuru me karni hain lekin aapko insha Allah kamyabi hasil ho gayi to phir aap hamzad se jo chahay malomat hasil kar saktay hain lekin sirf jaez.
Aur ye amal karnay k liye agar aap amliyat ki thodi bahot malomat rakhtay hain to barha faeda hoga.
Aur agar nahi bhi rakhtay hain to main aasan karkay aapko samja raha hun.

Amal aap nauchandi jumerat ya jumua ya peer ki raat se Haziraat92@gmail.com
 karay.amal k dauran sab se pahlay aapko 15 din tak koi bhi badboodar ashya yani pyaz lahsoon mooli ko kachi nahi khani hain.gosht anda machli ka aur ham bistari [sex] ka parhez rakhna hain. Haziraat92@gmail.com 15 din bad koi parhez nahi hain.

Amal k liye aapko apna bistar pak saf aur alag rakhna hain.chahay alag kamray me soye ya phir kamray me aur bhi log ho koi harz nahi hain.
Amal parhna shuru karay phir na Kisi se bolay na jawab de na hi koi chiz khaye ya piye aur amal k fauran baad chup chaap so jaen.

Amal pak saf halat me Haziraat92@gmail.com baawuzu parhna hain aur agarbatti vigera jalanay ki zaroorat nahi lekin libas me bistar me itr lagaya jaen.

Amal shuru karnay se pahlay Kisi garib bhukay insan ko do waqt khana khilaye ya do garibon ko ek waqt khana khilaya jaen.ya khanay ki koi chiz le kar de di jaen.

Ab jab amal karnay k liye tayyar ho jaen to yun niyyat karay ki Ya Elahi main ye amal hamzad meri aur dusray logon ki mushkilay dur karnay Haziraat92@gmail.com k liye hamzad se khwab me malomat hasil karnay k liye kar raha hun agar meray liye ye amal acha hain aur main es amal k layik hun to mujay kamyabi ata kar ya meri es mahnat ka Kisi aur amr me sila ata karna.

Phir bistar pe baith kar es Azimat ko rozanaHaziraat92@gmail.com likhi hui tadaad me parhi jaegi.

Aur koshish karay Haziraat92@gmail.com ki tadad me kami ya beshi na ho jaen.kyu k aisa honay se amal me mukammal faeda hasil na honay k imkanaat hain.

Azimat ye hain…

یا علیمُ یا خبیرُ اخبیرنی بحق یا لطیفُ بجسم روح فُلاں بن فُلاں
Ya Aleemu Ya Khabeeru Akhbeerni Bihaqqi Ya Lateefu Bijismu Rooh fulan bin fulan.

Es azimat ko 15 din tak parhna hain aur parhnay ki tadad ye rahegi.
Pahlay din….129 martba,
2re din 258 martba,
3re din 387 martba,
4the din 516 martba,
5ve din 645 martba,
6the din 774 martba,
7ve din  903 martba,
8ve din 1032 martba,
9ve din 1161 martba,
10ve din 1290 martba,
11ve din 1419 martba,
12ve din 1548 martba,
13ve din 1677 martba,
14ve din 1806 martba,
15ve din 1935 martba.
Jab ye tadad khatm ho to do rakat nifl shukrana k taur pe ada karna hain.

*rozana azimat awwal o aakhir 11-11 martba durood e pak parhna hain.

Duaran e amal aapko ajib o garib khwab aaengay.lekin Kisi se eskay baray me na bataye aur jo bhi khwab aaen chahay darawnay aaen ya khubsoorat aaen apnay sinay me hi rakhna hain.aur kuch khwab sach bhi ho saktay hain lekin phir bhi chup rahna hain.kisi se na bataye ki ye chiz to main khwab me dekh chuka hun.

Ab 15 din bad azimat ko rozana 129 martba rozana wird me rakhna hain taaki amal ki quwat aapkay kabzay me rahay.
15 din bad jab bhi aapko koi bat maloom karni ho Kisi mariz ka hal ho ya Kisi gumshuda ka hal ho ya Kisi mas’alay ka hal ho aap rat ko sonay pahlay bawuzu alag bistar pe baith kar es azimat ko 516 martba parhay Haziraat92@gmail.com aur wo maqsad dil me rakh kar so jaen insha Allah usi rat khwab me hamzad aapko bata dega.
Agar pahlay din kam na ho to dusray din bhi karay tisray din bhi karay.kyu k shuru kai martba pahlay pahlay jald kam nahi hota lekin lagatar tajorba kartay rahnay se jald jawab mila karaega.

Ummid hain jald hi copy paste walay choro k blog me ye post bhi aapko dekhnay ko milaegi.

*amal shuru karnay se pahlay rozana apna hisar kar liya karay.chahay 11 martba aaytul kursi parhay aur dono hatheliyon pe dam kar puray jism pe jahan tak hath pahochay pherliya jaen ya phir 11 martba aaytul kursi parh kar dono hatho ki ungliyon pe dam karkay apnay gird hisar khinchlay[circle banalay].

Tamami bataein likh di hain phir bhi koi bat samj na aaen to Haziraat92@gmail.com pe mail karkay puch saktay hain lekin main apni furshad se reply karta hun,ek din me bhi mil jaega aur ek week bhi lag sakta hain reply me aur kai bar rah bhi jata hain.lekin wo meray gair iradatan takheer k sabb hota hain.phir bhi kai dost ko bura lagta hain aur apnay akhlaq ka zahoor kar detay hain.agar mujay aap sab se lagaaon nahi hota to main ye sab nahi likhta jo blog pe amliyat likh raha hun.


waisay mujay koi gham nahi na afsos hain kyu k chor lutayray to baag k phool aapsay le ja rahay hain aur aakhir me jab sirf kantay hi bachtay hain to aap bhi kya karaengay.ham bhi aapka ye hi taufa kabool karlay tay hain...!jazakallah...!

May 26, 2018

#BAND KAROBAR KI TARAQQI KA EK MUJARRIB WAZIFA:


Aksar logo ki ye hi fariyad hain ki mera karobar nahi chal rha kafi koshisho k bawajod nahi chal rha.ya ye guman kartay hain ki shayid kisinay kuch bandishay laga di hain.aur aisa kai mamlat me dekhnay me bhi aaya hain ki log hasad k baes aesay kam kardetay hain aur khud bhi barbad aur Allah k azab k sakht haqdar bantay hain aur dusro ko bhi tabah kar detay hain.Allah taufiq ata karay aur hamay ek dusro ki madad karnay ka jazba ata karay aameen.
Ye wazifa aazmuda hain aur es post ko likh raha hun ki ek bhai ko ye elaj k taur pe bataya tha aur wo bata rahay hain ki usko es wazifay se kaafi faeda huva to mainay socha ki faeday ki bat hain to aap sab se bhi share ki jaen.Allah taala aapko es wazifa ka mukammal faeda ata karay Aameen.
Meray murshid yani ki aapka khadim SamarAli ko ustad mohtaram ka mission esi jazbay k tahat mila hain aur jitna mumkin hain koshish me laga rahta hun.
Jo hazrat apnay karobar me mahnat aur achay akhlaq k bawjod taraqqi nahi pa rahay hain wo bhi ye wazifa karay aur jisay ye guman ho ki kuch kara dhara gaya hain wo bhi ye wazifa karay insha Allah zaroor faeda hi faeda hoga.
Wo hazrat bhi karay jiska karobar pahlay bahot chalta tha aur ab nahi chal raha ya jisnay karobar to laga rakha hain lekin taraqqi nahi pa raha hain.
Subah fajr ki namaz k bad 11-11 martba durood e pak aur phir 3150 martba Ism e Elahi
الغنیُ

AlGhanee’u
G Alghaniyu 3150 martba parhna hain.agar kisi wajah se fajr k bad nahi parh skatay hain to jaisay hi karobar ki jagah jaen to apni nashist pe baith kar sab se pahlay ye wird karliya jaen phir aagay koi kam kiya jaen.aur aesa kam se kam 40 din karna hain aur agar koi ek saal tak jari rakhay to bahot hi behtar hoga aur uska faeda aur taseer khud apni aankhon se dekhaega.
Ab esi tarha rat ko isha ki namaz k bad 11-11 martba durood sharif aur 3150 martba
یا غنیُ
G, Ya Ghanee’u
Parhna hain aur koi isha bad na parh paen to ya to apnay karobar ko band karnay se pahlay parhliya jaen ya phir ghar aakar parhlay rat me kisi bhi waqt.
*agar dukaan[shop] ko kholtay waqt ism e pak Ghani’u ko 70 martba parh kar phir lock kholaega to bahot kharidar aaengay insha Allah.
*agar koi aamdani to bahot kama raha hain lekin paisa aata hain aur kaha chala jata hain pata hi nahi chalta to usay bhi upar bataya tareeqa yani ism e pak ko subah w sham 3150 martba parhna shuru karna chahiye aur ye mamool ek saal tak jari rakhay.aur phir es wazifay ka kamal dekhay.
*dolatmand honay k liye agar koi ye mamool banalay ki har jumerat ki rat yani jumerat ka din guzar kar jo raat aaen jumua ki rat hogi us rat me 19000 martba یا غنیُ Ya ghanee’u ka wird karay aur ek saal tak mamool jari rakhay to  insha Allah ghaib se daulatmandi k asbab paida ho jaengay.
*jo muflish ka mara ho wo ism e elahi غنیُ  ko rozana subah w sham 11000 martba wird karay to insha Allah ek saal me muflis se maaldar ho jaega.
*es mah e Mubarak[ramdan kareem] me es gunahgar badkar k haq me uskay ustad k haq me aur walidain k haq me dua farmaega aameen.
mah e ramdan sharif hain to aapko ye wazifa karna aasan bhi rahega aur koi parhez esmay nahi hain.
Aur es post ko share karyega….!

Mar 26, 2018

TANGI E RIZQ KO DAFA KARNAY AUR MALDAR HONAY KA WAZIFA:YAUM E WILADAT E ALI k nam.

Ye jo wazifa hain wo ilhaami wazifa hain aur insha Allah es wazifa ko apnanay walay ki rizq ki tangi jo ki aaj kal kafi log eski shikayat kar rahay hain wo dur hogi aur Allah thoday me bhi ziada ki barkat deta jaega.
TAREEQA: ek dam aasan hain.rozana subah fajr ki namaz k bad aur tuloo aftab se pahlay ka waqt hain.es waqt k darmiyan me aapko bawuzu ho kar pak saf jagah baith jana hain aur 11-11 martba awaal o aakhir durood sharif parhay aur Surah e Yaseen sharif parhna shuru karay aur Yasin sharif me lafz Mubeen jahan aaye wo lafz parh kar wahan 202 martba ism e Wah-Habu ko parha jaen.yani 202 martba Ya Wah-habu parhay.aur phir aagay parhay dusri mubeen pe bhi esi tarha 202 martba parhna hain aur yaseen sharif me 7 mubeen hain har mubeen pe 202 martba یا وھابُ parha jaega.aakhri mubeen pe bhi esi tarha parh kar yaseen aagay parh kar mukammal karlay.aadhay ghantay k karib waqt lagaega.aur aakhir me Allah se dua mangay ki parhnay me koi galti hui hain to muaf karay aur es wazifay k tufayl aapkay rizq me khub khub barkatay day.insha Allah dhiray dhiray aapko es wazifa ka faiz hasil honay lagaega aur ghar me barkato ka nuzool hona shuru ho jaega.Allah ka shukr ada kartay rahay aur es wazifay ko ta umr apna wazifa banaliya jaen aur apnay gharwalo ko bacho ko rishtaydaro ko bhi es wazifay ki talim di jaen.
bahot hi israr liye huvay wazifa hain.aakhir me naqsh de raha hun jo ki aap kisi se likhwa lay ya khud likhlay copy eski kam nahi degi.
chota naqsh likhay laminate karwaye aur khula naqsh rakhna hain.modna nahi hain.rozana parh kar naqsh pe dam karliya jaen taki kabhi kisi din wazifa chhut bhi jaen to barkato ka faizan zari rahay.wazifa waqt muqrar rakhnay ki zaroorat nahi bas tuloo aftab se pahlay parhlayna hain aur kisi din kisi sabb se tuloo aftab se pahlay na parh paen to jo bhi waqt maiyassar aaen parh lijyega tark karna nahi chahiye.
*khwateeno ko makhsoos ayyamo me wazifa nahi parhna hain aur jab paki hasil ho jaen to parhna shuru karday.
ab ek raaz ki bat ki aadad 202 martba parhna hain to ye Aaadad ism e pak Rabb w Barr k jo ki dono hi Allah k sifati nam hain.ربُّ aur برُّ .dono k aadad 202.
huzur nabi e pak sallallahu alayhi w sallam k ism e mubarak k Muhammad k aadad hain 92 aur BaBul Ilm Maula e kayenaat Hazrat Ali alayhis salam k aadad hain 110.
92+110=?
7 aasman 7 zamin 7 sitaray 7 mubeen...Wah-habo k aadad 14 es wazifay ki tadada 1414....Masha Allah...!

Feb 11, 2018

#AANKHON KI ROSHNI BARHANAY K LIYE AUR CHASHMAY K NUMBER KO DUR KARNAY K RUHANI TAREEQAY:

Ye jo tareeqa likh raha hun wo ek bahan k mail k reply me likh raha hun.aur ye tareeqa jo hain wo mera mujarrib hain.kiyu k mainay es tareeqay se kai marizo ka elaj kiya hain.Allah nay chaha to jo bhi es tareeqay se faeda uthaengay insha Allah zaroor zaroor usko shifa hasil hogi.
Nazar ki kamzori ki kai wajohat hain jismay paidaeshi bhi hain aur kuch khamiya kamiya apni khurak aur digar aadat se paida hoti hain.ye tareeqa ruhani hain esliye aapko ye maloom nahi karna hain ki jo taklif hain wo jismani hain ya ruhani kiyu k Allah taala k qalaam aur unkay habib e kareem sallallahu alayhi w aalehi w sallam k bataye nuskhon me shifa hi shifa hain.
Sab se pahlay to us pak zat ki bargah me dua hain ki Allah taala unkay habib e pak sallallahu alayhi w aalehi w sallam k noor k tufayl tamam mominin ko aankhon ki binayi ki kamzori se mahfooz rakhay aameen.

Do tareeqa likh raha hun aur mera mashwara hain ki aap dono tareeqay pe amal karay insha Allah bahot hi faedaymand hoga.
TAREEQA awwal ye hain ki kaala surma lay aaen aur phir ek laung jo ki aksar garam masalay me estemal hota hain aur english me usay Clove kahtay hain,to ek laung lay jiski topi saalim ho yani laung tuta huva na ho uskay sar par ek dana hota hain wo tamam maujud hau.aesa laung lay aur phir uspay 21 martba Durood e Shifa sharif parh kar dam karay aur phir us laung ko surmay ki shishi me dal dijye aur rozana usmay se subah w rat ko sotay waqt ek ek salayi surma lagatay rahay.surma khatm ho jaen ya ek mahina ho jaen yani har mah laung ko tabdil karna hain aur aisay hi 21 martba durood e shifa bhi parhna hain.ye amal lagatar kartay rahay dhiray dhiray aapki aankhon ki roshni bhi barhaengi aur agar aynak[chashma-glasses] vigera pahantay hain to wo bhi insha Allah chhot jaega.ekdam aasan sa tareeqa hain aur sasta bhi.aur koi nuqsan ka andesha nahi.

TAREEQA dowm yun hain ki es tareeqay se agar aapki ankhon me roshni ki kami honay wali hain to bhi maloom ho sakti hain.yani agar nazar kamzor ho rahi hain to bhi maloom ho jaega.
Tareeqa yun hain ki mithay pakkay Anaar [POMEGRANATE] k 4-5 daanay[beej] lay aur usay saaf kapfay k tukday me rakhay aur aap aankh khol kar rakhay aur koi dusra us kapday ko bal de kar nichod kar ek do bunday dono aankhon me dalay.
Agar aankh me jalan mahsoos ho to aapki nazar kamzor hain ya phir chashma lag sakta hain.aur halki si jalan ho to koi parayshani ki bat nahi lekin halki se zara ziada jalan ho to ye bat hain.aur agar es tarha aap rozana Anar k daano ka Arq[ras-juice] daltay rahengay to bhi insha Allah nazar ki kamzori dur ho jaegi.
Lekin ye tareeqa 15 din lagatar kar saktay hain aur phir 15 din tark kardiya jaen aur phir 15 din karay.lagatar nahi karna hain aur aankhon me bunday dalnay ki 15 minits baad aankhay khuli rakhay aur thanday pani ko aankhon pe chhiraka jaen lekin ye thanda pani freeze vigera ka na ho na barf[ice] ka ho uskay khas khyal rakhay.
**NOTE: waisay es tareeqay me normal insan k liye koi nuqsan nahi par aapko koi alergy ya aankhon ki digar taklif hoto pahlay apnay doctar se mashwara karnay k bad hi es tareeqay ko apnaye.mamla aankhon ka hain koi choti bat nahi.mera kaam achi aur faedaymand baato ko aap tak pahochanay ka hain.**
Allah taala Aap sabhi ko sehat ata karay aameen.

Durood e shifa image me diya huva hain.